Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Stories/Quotes/Anecdotes > Inspiring Stories

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
husan paray............ideal
Old
  (#1)
arz
Registered User
arz is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 6
Join Date: Sep 2003
Location: usa
Rep Power: 0
husan paray............ideal - 30th September 2003, 12:14 AM

husun paray .........Ideal


usay yaqeen tha us kay flat ki fiza aaj bhi kal jaisi hi ho gi, laikin na chahtay hoay bhi usay wo fiza pasand thi , tabdeeli ki khawhish shaid usay jamood pe rehnay ka mashwara day rahi thi. yehi soch kay us nay cell phone pe iqbal ka number milaia ,
" yaar ! sun aaj mujhay aik kaam yaad aa gaia , aisa kar, aglay haftay pe rakh lay is movie ko , haan aur fahad ko bhi keh lay ...haan..haan ...chal theek hay main phir call karoon ga ,ok, khuda hafiz "
lift ka intezaar kartay hoay us nay cigerette ki dibbay ko tatola , isi kaam main chabayaan haath say gir gaein .wo uthanay kay liyay jhuka aur saath hi lift ki "tun" pe khusboo kay aik jhonkay nay usay ooper daikhnay pe majboor kar diya. us ka dil jaisay halaq main aa gaia , "excuse me " ki awaz pe wo aik dam utha "oh..sorry " ke kay rasta day diya. flat main atay hi taqreeban bhagtay hoay khirki pe aaia aur wo ja chuki thi.

pichlay do maah say wo is purwaqaar aur qadray sanjeeda khatoon ko daikha tha .laikin maazi kay zakham abhi bharay na thay , Sharmeen usay ab bhi ufaq kay us paar karachi ki sahil pe doobtay sooraj ki manind nazer ati , wo us ki nahi ho saki thi jis tarha akser muhabbatain apni nahi ho patin, aur jab ye sochta ke jald hi wo kisi aur ki honay wali hay to jaisay ciggerete ki rakh ho jata .

wo janta tha muhabbat ka milna is dunya main shaid nayaab hay .aur wo to azal say hi mehroom tha .larkapan main pehlay baap ki maut aur phir nao jawaani main maan ki wafaat ka gham us ki rooh main ghul chuka tha ....maan . shafqat , muhabbat , naseehat , wafa aur masehaey jaisay hazaroon azeem ehsasaat say bani aik tasweer thi jo us kay zehan kay andhairay dareechoon main her waqt ,aroma candle ki tarha mehkti aur roshan rehti. zindigi ka jo mukhtaser arsa us nay guzara tha us main logoon ki taweel fehrist main sirf aik yehi wo roop tha jo us ko mukammal lagta tha jis main koey jhole nahi tha .warna behen bhayaoon aur dostoon ki tammaam khud gharziyaan aur chap losyaan wo bhugat chuka tha .

wo jab say pardais main aa kay set hoa tha , kitna bhi mutmaen honay ki koshish karta ,aik talash her waqt us kay ander rehti. koey jo us ki muhabbat ko takmeel karay. us kay jamood main tabdeeli laey aur koey jo" mukammal" ho. us ki is talash nay usay na sirf haqeeqi dunya main khawaar karrakha tha balkay , internet kay saraab main bhi uljha rakha tha .wo aik sada aur sacha insaan tha tabhi waqt ki chaal ko waqt pe kabhi samjh na paia .

khirki kay us paar wo aaj bhi sitaray daikh raha tha , roz kay is mamool say ab chand sitaray us kay dost thay . " aray , aaj tumhara computer off kioon hay?" kia aaj koey khoobsoorat dost online nahi?" wo muskaraia aur kaha " nahi.wo to sab hain ..per aaj dil nahi , shining star ! tum batao , itnay baray asamaan pe kam tak chamko gay?" ..sitara chamka " jab tak maira safer hay " tum tanha kaisay safer kar laitay ho ? main to thak gaia hoon?" ....sitara chonka ." ye kaisay mumkin hay . insano ki duna to hamari ideal hay , kioonke wahaan koey akaila musafir nahi" ..." tum kitnay bholay ho , shining star " ...is say pehlay ke star kuch kehta .darwazay pe bell hoey aur Sarmad nay ciggerete bhujaia , shirt pehni aur darwaza khola . " samnay wohi khatoon qadray ghussay main thi , aik kaghaz dikhatay hoay poocha " ye e mail; address aap nay chispaan kiya mairi gari kay sheeshay pe." Sarmad ko umeed nahi thi is qisam kay izhaar ki usay aik dam kuch na soojha , nazrain neechay kar kay " wo ....main........ji ....ji , ji main nay hi...." us nay wo kaghaz wahin phainka aur aik dam palat kay chali gaey. sharmindigi aur dukh ki ajeeb kaifiyat thi .mehroomiyat ki aik aur jhalak say us ki ankhain bhar aein.us nay apna e mail address to sirf baat cheet kay liyay diya tha kioonke usay us khatoon main koey "ideal " nazer aey thi jis ka hasool shaid namumkin tha. sitara tamtama kay usay bulata raha , laikin us nay dukh aur ghussay ki mili uli kaifiyat main apna PC on kiya . us ki aik do cousins aur teen chaar aur girl friends online thin. raat gaey tak wo un say chat karta raha , cigarette phoonkta raha ...jis kay dhowain kay us paar sitara usay afsos bhari nazer say daikhta raha.

Aglay haftay wo dostoon kay saath movie daikh kay laut raha tha, sab ko apnay dukhray sunanay ka mauqa mila tha , Iqbaal nay kaha"yaar Sarmad , kioon fikar karta hay , aray tu to ,,ghabroo jawaan , smart , khoobroo., stablished single hay ..tujhay larkyoon ki kami thori hay ..bas tu apni aapi ko aik baar keh phir daikh...." . Abay . yaar ! wo kia kar lain gi , apnay miyaan bachoon say fursat milay to maira sochain , aur main nahi chahta wo apnay jaisi koey aam si larki dhoondh lain ."..." yaar . sarmi ! tairay to baray bhaey bhi hain , itna monh kioon latkatay ho" fahad bola .
" lo bhaey ! unhain bhi bas mairay paisay say matlab hay , kabhi na bhaijoon to call ati hay agay peechay to yaad hi nahi hota ke koey bhaey bhi hay"..." chal yaar choro ...mauj masti karo . na to na sahi ...jahaan fit ho gaey wahin sahee,.." Iqbal nay saath hi sab ko cigarette diya aur mazay mazay lay lay apnay taza" affair" ki dastaan sunanay laga .

office ka kaam zoroon pe aa gaia . Sarmad ko raat gaey ki internet mulaqatoon ko mutal karna para .usay kuch dinoo kay liyay bahir bhi jana para . wapsi pe ...us nay do din araam kay liyay off liyay . aur khana khanay resturant main chala gaia . wahaan usay Naeema say mulaqaat hoey.
aur phir aglay aik maah wo aik shabeeh ko liyay usay khojta raha ..laikin shadi tak baat jab aey to khandaani masael ki waja say phir say aik aur "ideal" namumkinaat main say ho gaey.
Naeema usay pasand thi , shaid Sharmeen say bhi ziada laikin aaj usay bhi Khuda hafiz kehtay hoay us kay mehroom dil ko phir say naey talash ki thakan abhi say hi mehsoos honay lagi thi.
jab bhi khwab chan say tootay wo khirki main chamktay sitaray ko ansoo dikhata .
" shining star ...tum batao maira kia qasoor .." Sitara chamka " tum samjhtay ho , jo tum chahtay ho wo mil jaey ga ..yehi qasoor hay ...bas " ansoon kay beech cigarette ka kash laitay hoay us nay phir poocha " laikin kia achy ki khawhish karna aur usay khojna ghalati hay?" ..."nahi " sitara timtamaia ,,,,"Sarmad , jis tarha hum sitaray aik say nahi , koey ziada damkta hay koey madham hay , koey kisi safer main hay koey kisi manzil pe ...laikin hain to sab sitaray hi ...isi tarha insaan to sab insaan hi hain her aik main apni aik zaat hay . phir khojna kia ?"
" Shining star , is talash ka kia karoon? kaisay khatam karoon isay"..." Sarmad ..sitaray jo toottay hain unhain toot janay do. ta ke asmaan pe kisi naey sitaray ki jaga banay, jaisay aaj mujhay tootna hay ,,,,aur tumhain kal naey sitaray ko dost banana ho ga ..." ...." kia ? kioon akhir ? nahi .....nahi shining star mujhay tum hi chahyay ..sirf tum hi " Sarmad nay cigarette bhuja dia aur jiasay khirki say lapak kay sitaray ko pakarna chahta ho. " nahi Sarmad ...mairay mitnay ko maan lo ...aur kal mairi jaga jo bhi ho ga usay bhi maan lo,,,,kioonke maira safer khatam hoa , mairi manzil aa gaey ,apna khiyal rakhna Sarmad ,,,aur haan mujhay ab kisi aur main mat dhoondhna ....." " nahi ....nahiiiiii ...." aur saath hi Sarmad nay daikha " aik taara toot gaia " . khirki say lapkay hi wo ronay laga , usay apni maan ka janaza yad aa gaia , us ki qaber ki matti yaad aa gaey ,wo ronay laga aur wahin khirki kay neechay dewar kay saath taik lagaey na janay kab so gaia .
fager ki azaan hoey to us ki ankh khuli , aik dam us nay khirki kay us paar jhanka .wahaan aik nanah sitara apni tamma ter roshni ikathay kar kay jagmaganay ki koshish main tha .



by arzoo
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
The ideal women zainy English Poetry 1 1st July 2010 03:48 AM
ek nazam----apne paray rajinderseep Hindi Kavitayen 0 24th October 2009 08:26 AM
ro paray hum MuSkUrAhAt Shayri-e-Ishq 1 14th September 2006 08:22 PM
Ro paray calipaki1434 Aapki Shayri 1 27th January 2006 12:29 PM
husan paray.....Afreet (a storry) arz Inspiring Stories 2 7th October 2003 07:11 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com