Quote:
Originally Posted by zarraa
ye safar jo tanha hai is qadar to phir uth raha hai ghubaar kyooN
n nasheb* hai n faraaz* hai to kathin hai raahguzaar kyooN
n to theeN ayaaN* wo mahabbateiN huwee usko bhi kayee muddateiN
to hooN zikr ka tere muntazir tere naam ke hooN nisaar kyooN
jo n qurbatoN* si theeN qurbateiN to fasurda* kyooN haiN ye furqateiN*
jo suroor hi n chardha agar to utar raha hai khumaar kyooN
tujhe shauq-e-laala-o-gul agar to lahoo se seeNch ke surkh kar
tujhe gham khizaaN ka hai kis liye tujhe intezaar-e-bahaar kyooN
maiN ne yooN bhi sab se suna bahaut to n ab karo meri taaziyat*
mujhe sang* yooN bhi mile kayee to banaao mera mazaar kyooN
hai jamaal-e-husn bhi roo-ba-roo hai fusoon*-e-ishq bhi chaar-soo
teri aaNkheiN khwaab meiN mehv* kyooN tere sar junoon sawaar kyooN
jo n mila saka tha wo jaane kya jo bhi mil gaya hai wo kya bura
jo n uth saka wo hai bojh kya jo utha liya hai wo baar* kyooN
bhale gard kar mera gulsitaaN bhale khaak kar mera aashiyaaN
kahooN baaghbaaN saiyaad ko maiN qafas ko apna dayaar* kyooN
buree is qadar jo sharaab hai to phir apna khud hi hisaab hai
jise mil raha ye azaab* hai rahe khush wo baada-gusaar kyooN
sabhi chaak-e-daamaaN* rafoo huwe sabhi zakhm-e-jaan-o-jigar bhare
to hai “zarraa” ab bhi barahna* kyooN to hai “zarraa” ab bhi fighaar* kyooN
-zarraa
*
nasheb = downward slope
faraaz = upward incline
ayaaN = evident
quarbatoN = closeness(es)
fasurda = depressed
furqateiN = separation(s)
taaziyat = condolence
saNg = stones
fusoon = magical spell
mehv = immersed
baar = burden
dayaar = region / territory
azaab = punishment
daamaaN = skirt
barahna = naked
fighaar = wounded
|
Tasleemaat Zarraa Bhaee!! Takheer e haazri kay liyay maazrat!
Sub'hanAllah!!
aapki meyaaree shayari kay is namoonay ki tareef khaaksaar ke ilm-e-alfaaz-e-tahseeni say paray haye! Bas jo kuch fahm kar sakay wo likh rahay hayn,
Takhayyul: Sub'hanAllah, philosophical to the limit!
Taghazzul: Sub'hanAllah!! Misaal e shayar e Maahir-ul-bahr! Misaal e ustaad e maahir e lughat!
Bayshak aapnay itnee taweel bahr ka ist'emaal kiya haye lakin Sub'hanAllah,
rawaani jaysay behti ganga ho!!!
Sub'hanAllah! Khaaksaar ki jaanib say bayshumaar daad Qabool karayn!! Reps due rahay, inshaAllah Jald he aap tak pahunch jaayayngay!