Ajmer k khwaaza ji(dedicate 2 everyone Hindu,muslim sikh etc...) -
30th June 2005, 07:15 PM
Tumhare Dware Aan pada Hu Walian K Maharaj
Mere Khwaza Tumhi To Mori Laj Laj Laj
Ek Najariya Kardo Prem Ki
Sabke Ban Jaaye Kaam
Tum Ajmer K Khwaja Tumhara Bada Jagat Mein Naam
Nagar Nagar Mein Charcha Tora
Nagar Nagar Tora Raj
More Khwaja Tumhi To Mori Laj Laj Laj.....
Hi! Friends I m from rajasthan[India] aur hamare yaha ajmer mein khwaza ji ki dargaah hai Jiske baare mein puri duniya k
muslim to jante hi hai aur shayad sabhi. Yaha hindu aur muslim sabhi kafi tadad mein aate hai.Vaise Main hindu
hu par waha jaaya karata hu aur bar-2 jana chahta hu kyoki dargaah hai hi aesi jagah.waha par jab mein gaya to mene
song suna jo mujhe bohat acha laga isliye aap sabhi k liye ishe pes kar raha hu shayad aap sabhi ko pasand aayega.....
This is my Quote :-
"Naa main hindu hu Naa main musalma hu
Main to insaan hu mujhe insaan rehne do
Main to Parinda hu us khuda ka
Do pal ish chaman mein mujhe tum ud lene do
kya pata kab aa jaaye kaza mere sar par
chhoti si hai ye zindgi
tum muhje jee bhar k jee lene do.... " Diggaz
Navard-e-ishq mein kya hua kya bataye hum
kabhi humne yu khud ko harata naa dekha
Kaise Samjhau Dil-e-hasarat-nasiib Ko Apne
K Sab Kuch Milta Nahi Chah Lene Se Ish Zamane Mein..... "Diggaj"
|