Quote:
Originally Posted by vikramjethi
Kunaal ji,
Aapka bahut bahut shukriya ke aapne waqt nikal isse padha aur sraha.
Main aapke aane ka intzaar karunga...
Main to dhundta hu ki koi aaye aur bataaye, mujhe achha laga ke aapne mujhe bataane ki sochi....
Thanks a lot...
Vikram Jethi
|
Shukriya ke sath aapko salaam
Aur aapki izzatafzaai se mujhe be-inteha khushi ka ehsaah hua hai ...aur is baat ka isteqbaal karta huN maiN ki aap bhi .. seekhne ki raah mai yakeen rakhte hai .. magar maiN koi ustaad aur sareekha shayar nahi huN .. maiN khud su-e-alfaaz seekh raha huN .. par accha lagta hai jab aur rafeeq dost bhi is hunar ko apne haathoN maiN bharne ki tamanna bataate hai .. khuda aapki kalam ko noor de dua rahegi ...
Ab aate hai aapki ghazal ki taraf..... to pehle is baat ka izhaar zaroor karna chaunga .. maiNe wo khatpadha hai... jisme mere azeez dost naadaan ne ye baat rakhi thi ki aap shayri ke kaaidoN maiN reh kar likhe to bohat behtar hoga.. kyuNki aapke ehsaasoN ki adayegi ka andaaj behad umda hai .. maiN bhi is baat se ittefaq rakhta huN.. aur iski baat ke mutaliq aapke kalaam pe shirkat kari thi maiNe..
Par sabse pehle ye bataana chahunga .. ki aapka kalaam shayri ke daiyre maiN nahiN hai .. kyuNki behr maiN nahi likhi gayi ... is liye ise tehreer to kaha jaa sakta hai ... ghazal ya mukkamal shayri nahi ... chunki ghazal behar maiN nahi hai .. is liye kisi bhi tarah ki takneeki khaami ko nikaalna be wajah hai .. par kuch baatoN pe roshani karne ki maiN koshish kar raha huN...
'E Zindagi tu hai kidhar KyoN teri khabar na mile
Gar mar bhi chuki hai to KyoN teri kabar na mile
khyaal jabardast hai .. par dekhiye aapne kafiya pehle mishre maiN KHABAR liya .. aur doosre mishre maiN KABAR... kabar nahi hota hai saahab .. kabra hota hai .. is lihaaj se matla khaariz hota hai hai ... jo ki sher pehle se behar maiN nahi hai .. to uski koi bhi soorat dena wazib is liye nahi ki aapko abhi behr ka ilm nahi hai ... aage ke sheroN pe nazar daale to bhi .. kaafiya kahin bhi raNwaa hota nahi dikhayi deta jaise nabah bar, payambar, motabar, jabar, dilbar, etc etc .. aapko bata dena chahta huN ki in kafiyoN ka behr hi same nahi hai .. isi liye padhne maiN bhi ek jaise nahi lagte ...aur ghazal atak see jaati hai... ek acchi ghazal wahi hai jo dheere se padhte hue bhi kahiN na atke .. jiske liye bas kuch baateN dhyaan maiN rakhi jati hai .. jaise sabse pehle behr.. kafiya, radeef aur rawaangi.. aur agar aapka behr sahi hai to sab kuch apne aap hi sahi ho jaata hai...
Main yahaaN itni saari baateN nahi samjha sakta .. is liye aap pehle kuch naami shayroN ko padhe .. behr se jude article padheN .. aur ho sake to kisi ustaad ki saubat maiN apne kaif ko nikhaareN .. aur urdu ka jitna ho sake ilm leN.. tab tak likhna na choreN .. apni ghazal mai flow laane ki koshish kareN.. thoda taawil mishre se hat ke chote mishre aazmaayeN.. aur ek khaas baat apni alfaazoN ki gehraai ko nahi jaane dena .. . yahi aapka sabse ajeem hunar hai... mai ab aapse aur acche ki hi umeed karunga humesha .. mujhe aapki ek bhi ghazal kam nahi chaiye....ek mazloom yahan SDC pe bhi hai link de raha huN...
http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=2125
Shayad abhi ke liye itna kaafi hai.. haule haule badhenge to aapko maza bhi aayega .. aur hunar maiN izaafa bhi hoga... aur mujhe yakeeN hai .. apka rehkta chamkega zaroor.. ek baar phir se aapka shukraguzaar huN.. itni izzat bakshne ke liye.. khuda aapko salamat rakhe.. apna khyaal bohat acche se rakhiyega...
Kunaal