Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
tujhe gila na raha aur mujhe malaal naheeN
Old
  (#1)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
tujhe gila na raha aur mujhe malaal naheeN - 4th September 2022, 05:20 PM

तुझे गिला न रहा और मुझे मलाल नहीं
अब इसके बाद किसी बात का सवाल नहीं

अभी तो और ज़रा और लड़खड़ाना है
मैं कितनी बार बताऊं मुझे संभाल नहीं

फिर इसके बाद न कहना कि दिल दुखाया है
ये तुझपे है कि मुझे कश्मकश में डाल नहीं

मैं छोड़ दूं भी तो दुनिया मुझे न छोड़ेगी
अगर मजाल भी हो तो ये हस्ब-ए-हाल* नहीं
*हालत के अनुसार

कभी ख़ुशी भी मिली है तो शक़ रहा है मुझे
ये क्यूं मिली है कहीं ये किसी की चाल नहीं

ये इल्तिजा थी कि गहराइयों में तू न धकेल
ये इल्तिजा है कि अब तू मुझे निकाल नहीं

कहीं पे और ही ठहरा हूं मैं कि दर तेरा
मेरे सफ़र की है मंज़िल मगर मआल* नहीं
*अंत

कहीं मैं सर्फ़* न हो जाऊं राएगां** “ज़र्रा”
किया है अपना कभी ठीक इस्तेमाल नहीं
*व्यय **व्यर्थ

- ज़र्रा

tujhe gila na raha aur mujhe malaal naheeN
ab iske baad kisi baat ka savaal naheeN

abhi to aur zara aur laDkhaDaana hai
maiN kitni baar bataaooN mujhe saNbhaal naheeN

phir iske baad na kehna ki dil dukhaaya hai
ye tujhpe hai ki mujhe kashmakash meN Daal naheeN

maiN chhoD dooN bhi to duniya mujhe na chhoDegi
agar majaal bhi ho to ye hasb-e-haal* naheeN
*according to situation

kabhi KHushi bhi mili hai to shaq raha hai mujhe
ye kyooN mili hai kaheeN ye kisi ki chaal naheeN

ye iltija thi ki gehraaiyoN meN tu na dhakel
ye iltija hai ki ab tu mujhe nikaal naheeN

kaheeN pe aur hi THahra hooN maiN ki dar tera
mere safar ki hai manzil magar ma’aal* naheeN
*end

kaheeN maiN sarf* na ho jaaooN raaegaaN** “zarraa”
kiya hai apna kabhi Theek istemaal naheeN
*spend **futile

- zarraa


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Phoenix
Registered User
Phoenix is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 144
Join Date: Nov 2015
Location: Odisha
Rep Power: 9
5th September 2022, 12:45 AM

Kya baat hai..... Bas dil ko chhoo gaya......


Tu fir se kabhi mujhe mili bhi nahin
Ya fir maine tujhe dhunda hi nahin.


उन बीते लम्हों के याद ना दिलाया करो
दिल में सुलग रही आग को ना हवा दिया करो

   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com