waah kyak huub ehsaas hai nazm me.n! daad haazir hai!
par kya main jaan sakta huu.n ki, yeh aap ki likhi huii hai ya aap kisii ka likha huaa share kar rahii hai.n? agar aap share kar rahii hai.n to bhi koii baat nahii.n.. lekin aap ki shayri sec. par other's poetry allow nahii.n hai
yuu.n hi likhati rahe.n, tc
Mayank
Last edited by Mayank; 5th September 2008 at 02:06 PM..
bhai .( naam nahi likhon ga ) kiyo'n ke zani ka matab urdu loughat me bahot ghalat hai ,
aadaab
nazm bahot achi aor kam lafzo'n me poori baat kahti nazar aaei , yehi saleeqa nzm ko khoobsurti ata kar raha hai , aor har misra apne aane wale dusrey misrey ko pad>hne par majboor karta huwa tezi par uksa raha hai , yani eak tasalsul haijo nazm ke khatm hone tak sahr ki si kafiyet rakhta hai , meri janib se dher sari mubarak baad