Mayyat -
26th October 2010, 05:56 PM
AAdAb aaj bahut dino ke bad kuch likhne ki koshish ki to socha aapse bhi share kar lun.......
aaj mayyat mein meri har shaqs aaya hua hai,
wo bhi aayen hain jinke haath mein phool hain,
wo bhi aayen hain jinhone khanjar chupaya hua hai,
woh bhi aayen hai jo meri maut se khush hai,
wo bhi aayen hai jinhone dard se chehra chupaya hua hai.
wo bhi aayen hain jinhone mujhe maut bakshi,
wo bhi aayen hain jinki wajah se mujh par zindagi ka saya hua hai,
wo bhi aayen hain jinhone ye kabar bakshi,
wo bhi aayen hain jinke dupatte ka mujhe kafan pehnaya hua hai,
wo bhi aayen hain jo the hum safar ,
wo bhi aayen hain jinka ye mukam laya hua hai.........
|