Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
jo ho raha iss shahar mein kaee roz se badnaam hai,
Old
  (#1)
anaarhi
Talib-e-ilm
anaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 213
Join Date: Aug 2010
Location: NOIDA (U.P.)
Rep Power: 23
jo ho raha iss shahar mein kaee roz se badnaam hai, - 15th June 2011, 03:09 PM

is samaaj ke eik hissey ki duvida byan kerney ki koshish ki hai, koee sankeit nahin par samajhta hooN ke aap wahan tak zaroor pahuchengey jo main kehna chahta hoon.

जो हो रहा इस शहर मे कई रोज़ से बदनाम है,
ए आइने मैं क्या करूँ मेरा हमशक्ल हमनाम है.

फ़र्दे अमल को तू मेरी फिर से लिख ले ए खुदा,
तू उस में वो भी जोड़ ले जो चाहतों के नाम है.

बदली बदली सी लग रही है चाल आसमां तेरी,
बदल रही किस्मत मेरी या तुझको मुझसे काम है.

दिया है छोड़ मैने उसके दर को और दिवार को,
पर दिल में कायम अब तलक फिर भी एहतराम है.

मैं कोड़ियों के मोल हूँ इस आलमे बाज़ार में,

पर दिल की बात तू ना कर बेमोल और बेदाम है.

जो ज़ाहिर में तो है पिन्हाँ वो पिन्हाँ में ही है ज़ाहिर,

तो हासिले ये जुस्तजू अनाड़ी यही एलाम है.

jo ho raha iss shahar mein kaee roz se badnaam hai,

ay aainey main kya karoon mera hamshakl hamnaam hai.

fard-e-amal ko tu meri fir se likh le ay khuda,

tu uss mein wo bhi jorh le jo chahaton ke naam hai.

badli badli si lag rahi hai chaal aasmaN teri,

badal rahi kismat meri ya tujh ko mujhse kaam hai.

diya hai chhorh maine uske dar ko aur diwaar ko,

par dil mein kayam ab talak fir bhi ehtraam hai.

main kodiyon ke mol hooN iss aalm-e-bazaar mein,

par dil ki baat tu na kar bemol aur bedaam hai.

jo zahir mein to hai pinha wo pinha mein hi hai zahir,

to hasiley ye justju anaarhi yahi ailaam hai.....
(khoz se yahi naseehat mili )


fard-e-amal = karmo ka lekha jokha,
ehtraam = izzat, aadar,
aalm-e-bazaar = bazaar roopi sansaar,
pinha = chhipa hua, hidden,
justju = Khojh,
ailaam = naseehat


"Anaarhi"
15th June 2011


पुराने लिबासों में लाखों हैं पैवंद,
ख़यालों को चोला नया दे रहा हूँ .

Last edited by anaarhi; 15th June 2011 at 03:33 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
16th June 2011, 02:35 PM

badli badli si lag rahi hai chaal aasmaN teri,
badal rahi kismat meri ya tujh ko mujhse kaam hai.

diya hai chhorh maine uske dar ko aur diwaar ko,

par dil mein kayam ab talak fir bhi ehtraam hai.

Bohat khoob Anarhi sahab...yeh 2 ashaar bohat pasand aaye mujhe..

YUHI LIKHTE RAHIYE..




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#3)
anaarhi
Talib-e-ilm
anaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 213
Join Date: Aug 2010
Location: NOIDA (U.P.)
Rep Power: 23
19th June 2011, 01:51 PM

aaderniya SDC members aur prabhud pathak gan,
Namaskaar,
mujhe khed hai ki meri kamzor byani aapko is rachna k us pehlu se rubru nahin kara paee jis pehlu ko dyan mein rakh ker ye gazal huee thi. us nazar se kisi reaction ka na aana hee is baat ka suboot hai.
kuch din pehley Shiri Rahat Indori ji k mushayre net per dekh raha tha. ek mushayre mein unhone london bomb blasts ka zikr kiya aur bataya k jab wo dhmakey huye tab wo wahin the aur unhone isi silsiley mein ek baat aur kahi k dhmakon ki aawaz unke kaano mein baad mein aaee - dhmakey kerney waalon k naam uss se pehley aaye k flaana ali hai ya flaana khan hai. ..us k baad unhone ek gazal bhi padhi isee vishey par. mainey bhi unse inspire hoker hee is vishey per likhney ki himmat ki hai..
is desh mein jahan kahin bhi koee aatank ki ghatna hoti hai to is desh k alpsankhyak samudaye par kya beet'ti hai --- jis ko to bas jeeney se hi fursat nahin mili aaj tak- roz kmaana , roz khaana aur yoon hi zindgi ka safar kaat lena......us ke man ki kashmkash ko byan kerney ki koshish ki thee is rachna mein...

pehla sher uske naam aur jatee ki veytha hai,
doosra sher uske haq aur kartavyon ko redefine kerney par hai,
teesra sher sarkaar aur netaayon se prashan hai
chautha sher is veyawastha par uske uth chukey vishwas par hai,
paanchwa sher is samaaj mein uski hasiyat aur zaroorat par hai,
aur maqta chehron se mukhoutey utaarney ki koshish hai.

Shayad ek kavi hirdey ko is samaaj ne itnee choot to de rak'khee hai, mera mannaa hai k kisi bhi rachnakaar ko mehboob k naaz nakhron, roop sunderta, hizr aur visaal k dard se ooper uthker samaaj ko aaina bhi dikhana chahiye , meri ye koshish koee political ya religious thinking par aadharit nahi hai aur aap sab se vinti hai k is ko ek manviye drishtikon se hi lain. kisi bhi kism ki agar koee gustakhi ho gaee ho to tahe dil se agrim muafi ki darkaar is khaksaar ki hai., shayad ye manch is kism ki baat kehne aur samajhne ki sahi jagah na ho ya shayad ye chota muhn aur badhee baat ho.
aap sab ka ab tak ke saath k liye dil se dhaneywaad --shayad ye post meri SDC pe aakhiri post sabit ho .

Regards,

Talib-e-ilm
"Anaarhi"


पुराने लिबासों में लाखों हैं पैवंद,
ख़यालों को चोला नया दे रहा हूँ .

Last edited by anaarhi; 19th June 2011 at 02:03 PM..
   
Reply With Quote
Kudos Janaab!
Old
  (#4)
EnigmA
Registered User
EnigmA is a splendid one to beholdEnigmA is a splendid one to beholdEnigmA is a splendid one to beholdEnigmA is a splendid one to beholdEnigmA is a splendid one to beholdEnigmA is a splendid one to beholdEnigmA is a splendid one to behold
 
EnigmA's Avatar
 
Offline
Posts: 199
Join Date: Oct 2010
Rep Power: 21
Kudos Janaab! - 21st June 2011, 07:25 AM

Adaab Janaab Anaarhi Sahab!

Sabse Pehle.... Aaap Ka Main Ek Aala Ghazal Ki Inayat Per Shukriya Adaa Kerna Chahoonga! Shair Ek Se Aala Ek Likhe Hain Aaap Ne! Muaiynay Har Ek Ke Kisi Sagar Kii Gehrai Se Kam Nahin! Janaab Aapse Ghalati Nahi Huee Hai..Kasoor Ham Kam-fehmi Aur Mashghool Insaano Ka Hai! Aap Ki Himmat-O-Faraasat Ki Mai Tah-E-Qalb Se Daad Deta Hoon!

Janaab Mera ManNa Hai Ki Ek Shayar Zamaane Ka Aaina Hota Hai Aur Iski Shayri Zamane K Aks Ko Numayan Kerti Hai! Per Ek Baat Main Aaap Se Aur Kerna Chahoonga.. Aajkal K Daur Mein Jahaan Insaan Ki Zindagee Dabaav (Stress) Se Bhari Hai Aur Boht Kam Log Hain Jo Ki Barely Manage Ker Paate Hain Is Forum Per Aaana Let Alone Post Replies To Every One.. And The Other Fact Is Many Of Our Fellow Members Come Here To Escape From The Very Stress And Tension In Their Lives. So They Read And Write More About Love And Beauty Etc.. I Believe Very Firmly That There Were Many Many Members Who Agreed Absolutely With Each Shayr Of Yours. And Besides That ..Not Every Poet Has The Heart To Discuss What You Wrote Above! So Please DO NOT Think Your Work Was Not Noticed , Admired And Appreciated!

Once Again....I Salute Your Courage And More Than That the Way You Managed To Encapsulate Your Feelings In Your Work Above!

Hats Off!

Khush Rahein! Abaad Rahein!


EnigmA
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com