Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Ghar to khuda ka
Old
  (#1)
anaarhi
Talib-e-ilm
anaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 213
Join Date: Aug 2010
Location: NOIDA (U.P.)
Rep Power: 23
Ghar to khuda ka - 26th April 2011, 01:49 PM

खुल्द का वादा बड़ा दिलनशींन था,
जब तलक रहा भरम कायम यकीन था.
(Khuld = swarg)


किसको जन्नतों में यूं ढूंढते हो तुम,
घर तो खुदा का कब से ज़ेरे ज़मीन था.

आईनों से उठ चुका एतबार मेरा,
फर्क यूं तो अक्स में काफ़ी महीन था.

जीना मरना रात दिन एकही बात थी,
थी हक़ीक़त हसीं ना ही ख्वाब हसीन था.

बात उस की सुन के मैं हैरान रह गया,
वो मेरी उम्मीद से ज्यादा कमीन था.

क्या नीयत पे किसी की भरोसा करूं,
अपनी ही नीयत पे मुझे कब यक़ीन था.

बन के वो अनाड़ी दुआएं सब से ले गया,
बातों से ही लग रहा बंदा ज़हीन था..



Khuld ka waada badha dilnasheen tha,
jab talak rahaa bharm kaayam yakeen tha.
(Khuld = swarg)

kisko jannaton mein yoon dhoondhtey ho tum,
ghar to khudaa ka kab se zere zameen tha.

aaino se utth chukaa aitbaar meraa,
fark yoon to aks mein kaafee maheen tha.

jeena marna raat din ekhi baat thi,
thi haqeeqat haseeN na hi khwab haseen tha.

baat us ki sun k mein hairaan reh gyaa,
wo meri ummeed se jyada kameen tha.

kya niyat pe kisee ki bharosa karoon,
apnee hi niyat pe mujhe kab yaqeen tha.

ban k wo anaarhi duaayen sab se le gya,
baaton se hi lag rahaa banda zaheen tha.


"Anaarhi"

26th April 2011


पुराने लिबासों में लाखों हैं पैवंद,
ख़यालों को चोला नया दे रहा हूँ .

Last edited by anaarhi; 26th April 2011 at 02:18 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
loveforgudia
Ankahi Kahaani
loveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to beholdloveforgudia is a splendid one to behold
 
loveforgudia's Avatar
 
Offline
Posts: 438
Join Date: Jun 2007
Location: USA
Rep Power: 23
Smile 29th April 2011, 04:31 AM

Quote:
Originally Posted by anaarhi View Post
Ji .. Namaste Anaam Ji .. aaj bade dino baad hum aap ki post pe aaye hai ... Kyon A.P.A Ji Kya khayaal hai aap ka .. Aaj kitani shaamat aayegi aap ki ... heheheheh ... Chaliye dekhate hai ...


Khuld ka waada badha dilnasheen tha,
jab talak rahaa bharm kaayam yakeen tha.
(Khuld = swarg)
Aap ko Swarg ke sapane dikhaane waala kaun mil gayaa ?? .. aur aap ne bhalaa kisi ke dikhaane pe ye saare sapane dekh KAISE aur KAB liye ??? .. aap bhool rahe hai aap ka naam TIMETABLE .. is timetable ke bich sapane dekhane ka time aap ko Neend mai bhi mil kaise gayaa I wonder



kisko jannaton mein yoon dhoondhtey ho tum,
ghar to khudaa ka kab se zere zameen tha.
Zameen pe kya kami pad gayi A.P.A Ji ... jis ko dhoondhate huye Jannat pahonch gaye ??? .. ab Jannat ki Pariyon se milanaa hi tha to seedha seedha kahe dete .. iske liye bechaare Bhagwaan Ji ko dhoondhane ka bahaana kyon karna



aaino se utth chukaa aitbaar meraa,
fark yoon to aks mein kaafee maheen tha.
Hehehehehehe .. hota hai hota hai .. Aaina Anaahri nahi hai naa ... Ustaad ho kar Anaahri hone ke bahaane nahi dhoondhataa .. isliye Aaine mai sirf Haqeeqat hi nazar aati hai Anaam Ji ... to Aaine se Aetbaar hataa ke kya faayda .. ab isme bechaare Aaine ki kya galti ...


jeena marna raat din ekhi baat thi,
thi haqeeqat haseeN na hi khwab haseen tha.
hahahahahahhaa .. TIMETABLE .. aap ko Saans lene ka to fursat hota nahi ... aap kahaan haqeeqat .. aur khwaabo ki duniyaa mai pahonch gaye ... Anaam Ji ... khwaab aur haqeeqat dono ke hi liye ... time ki zaroorat hoti hai .. in fact jeene ke liye to kya Marne waala marr jaaye to uske pinchhe bhi logon ko bechaaro ko time nikaalne ki zaroorat padati hai ... Aap kab se is chakkar mai fasne lage ... Doubtful case hai


baat us ki sun k mein hairaan reh gyaa,
wo meri ummeed se jyada kameen tha.
Haaye Rabba ... fir wahi baat .. kisi ki baat sun ne ke liye bhi Time chaahiye Time ... heheheheh ... Haaye Ree Kitanaa jhooth bolte hai aap ... Taubaa Taubaa Taubaa ...


kya niyat pe kisee ki bharosa karoon,
apnee hi niyat pe mujhe kab yaqeen tha.
Haaye kya sher kahaa hai .... is sher pe to Dost Ji ke style mai hum dhairo taaliyaan pesh karte hai aap ko ... tad tad tad tad tad tad tad tad tad tad ...

Aap ke upar ek dum fit beth raha hai ye sher ... sahi hai aap ki niyat ka to kya .. kisi bhi baat ka kya bharosaa ... apni kahi ek baat pe to khare utarr nahi paate aap .. fir kya bharosaa aap ka ...

Ab ye nahi kahiye konsi baat ...

aap ne humse apne ek reply mai kahaa tha .. ke aap ka Anaam naam aap ko badaa pasand aaya hai .. aur jaldi hi is naam se aap ek ghazal post karne waale hai ... ab hum soch rahe hai wo Jaldi .. is Janam ke liye hi kahaa gaya tha ke .. Agale Janam ke liye .. hehhehehehe



ban k wo anaarhi duaayen sab se le gya,
baaton se hi lag rahaa banda zaheen tha.
Ji ek dum sahi kahaa aap ne A.P.A Ji ... Anaahri ban ke sab ko buddhu banaaye jaa rahe hai aap ... aap koi Anaahri Wanaarhi nahi hai ... ek dum Chunt ho aap ... pakkaa Chunt ... Baaki sab ka pata nahi .. hum is baat pe sahemat hai ... ke aap Anaahri nahi ... Anaahri ban ke hum sab ko buddhu banaate rahete hai bas


"Anaarhi"

26th April 2011
Ji ... lijiye hum itane dino se aaye nahi the naa site pe.. to aap ki jitani bhi ghazalon pe reply dena missed kiya un sab ke reply ek hi ghazal pe ek saath de diye ....Kitani shaamat laa di aaj aap ki ... hehehehehehhe

Waise aap to har baar hi itanaa achchha likhate hai .. aur hum har baar itani Taareef nahi kar sakte ... areee Tareef ke liye shabd bhi to hone chaahiye na humaare paas .. To is baar aap ki thodi Buraayi hi kar li .. hahahahha

ab dekhiye padhane waale par hai ke woh aap ke likhe ko kya review dete hai ... so upar likhi Saari Sharaarato ke liye hum bhalaa kyon maafi maange ... hum nahi maangate koi maafi waafi ... heheheheheh

Bahot Masti Mazaak kar liya .. ab aate hai aap ki Ghazal pe .. Ji har baar ki tarhaa aap ki ghazal bahot hi pasand aayi hume ... Saare hi sher ek se badh kar ek lage ... aur har ehsaas dil pe dastak de gayaa ... Bahot hi khoob andaaze bayaan rahaa aap ka ... apne andar chal rahi kashmaksh mai dube ehsaason ko bahot hi achchhe se aap ne shabdo mai dhaala hai ...

Aap ki ghazal sach mai bahot achchhi lagi .. yunhi likhate rahiyegaa .. aur is mahefil mai chaar chaand lagaate rahiye ... apna khayaal rakhiyega.. Waise Masti mazaak mai likhi koi bhi baat aap ki naraazagi ki wajhaa bane to hum maafi chaahenge ...

Bhagwaan Ji aap ko har khushi de,

Aapki Dost: Chandani .... abhi theek hai naa ??? heheheheh

Jay Ambe


------------------------------------------------------------
Puri Hoke Bhi Jo Puri Na Ho Hoon Zindagi Ki Wo Ankahi Kahaani......
-------------------------------------------
-----------------
Ek Aaina Jiski Tasveer Dhundhla Gai,
Ek Dil Jiski Dhadkan Ruksi Gai,
Ek Zindagi Jiski Manzil Ka Koi Pata Hi Nahi,
Ek Daaman Jahaan Se Khushi
yaan Galti Se Bhi Guzarti Nahi.



  Send a message via Yahoo to loveforgudia Send a message via AIM to loveforgudia  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Mohammad Kashif
DIL KI BAAT DIL TAK
Mohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant future
 
Mohammad Kashif's Avatar
 
Offline
Posts: 1,185
Join Date: Apr 2007
Location: MORADABAD (U.P.)
Rep Power: 37
Thumbs up 29th April 2011, 11:28 AM

जीना मरना रात दिन एकही बात थी,
थी हक़ीक़त हसीं ना ही ख्वाब हसीन था.

Aadaab Anaarhi ji bahut umda kalaam pesh kiya aapne haqeeqat ke kareeb raha aapka likha meri dili daad kubool kare.n



Quote:
Originally Posted by anaarhi View Post
खुल्द का वादा बड़ा दिलनशींन था,

जब तलक रहा भरम कायम यकीन था.
(Khuld = swarg)

किसको जन्नतों में यूं ढूंढते हो तुम,
घर तो खुदा का कब से ज़ेरे ज़मीन था.

आईनों से उठ चुका एतबार मेरा,
फर्क यूं तो अक्स में काफ़ी महीन था.

जीना मरना रात दिन एकही बात थी,
थी हक़ीक़त हसीं ना ही ख्वाब हसीन था.

बात उस की सुन के मैं हैरान रह गया,
वो मेरी उम्मीद से ज्यादा कमीन था.

क्या नीयत पे किसी की भरोसा करूं,
अपनी ही नीयत पे मुझे कब यक़ीन था.

बन के वो अनाड़ी दुआएं सब से ले गया,
बातों से ही लग रहा बंदा ज़हीन था..



Khuld ka waada badha dilnasheen tha,
jab talak rahaa bharm kaayam yakeen tha.
(Khuld = swarg)

kisko jannaton mein yoon dhoondhtey ho tum,
ghar to khudaa ka kab se zere zameen tha.

aaino se utth chukaa aitbaar meraa,
fark yoon to aks mein kaafee maheen tha.

jeena marna raat din ekhi baat thi,
thi haqeeqat haseeN na hi khwab haseen tha.

baat us ki sun k mein hairaan reh gyaa,
wo meri ummeed se jyada kameen tha.

kya niyat pe kisee ki bharosa karoon,
apnee hi niyat pe mujhe kab yaqeen tha.

ban k wo anaarhi duaayen sab se le gya,
baaton se hi lag rahaa banda zaheen tha.



"Anaarhi"



26th April 2011


"Do Pal Ruka Khushio.n ka Karwan"


Dunia ke sitam ki koi perwah nahi mujhko,
wo kyoun mujhpe ungliya uthaye ja rahe hain.
Jis shaks ko janta tha ek chehre se ''kashif''
Uske kitne chehre samne laye ja rahe hain.




  Send a message via Yahoo to Mohammad Kashif  
Reply With Quote
Old
  (#4)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
29th April 2011, 12:41 PM

Quote:
Originally Posted by anaarhi View Post
खुल्द का वादा बड़ा दिलनशींन था,
जब तलक रहा भरम कायम यकीन था.
(Khuld = swarg)


किसको जन्नतों में यूं ढूंढते हो तुम,
घर तो खुदा का कब से ज़ेरे ज़मीन था.

आईनों से उठ चुका एतबार मेरा,
फर्क यूं तो अक्स में काफ़ी महीन था.

जीना मरना रात दिन एकही बात थी,
थी हक़ीक़त हसीं ना ही ख्वाब हसीन था.

बात उस की सुन के मैं हैरान रह गया,
वो मेरी उम्मीद से ज्यादा कमीन था.

क्या नीयत पे किसी की भरोसा करूं,
अपनी ही नीयत पे मुझे कब यक़ीन था.

बन के वो अनाड़ी दुआएं सब से ले गया,
बातों से ही लग रहा बंदा ज़हीन था..



Khuld ka waada badha dilnasheen tha,
jab talak rahaa bharm kaayam yakeen tha.
(Khuld = swarg)

kisko jannaton mein yoon dhoondhtey ho tum,
ghar to khudaa ka kab se zere zameen tha.

aaino se utth chukaa aitbaar meraa,
fark yoon to aks mein kaafee maheen tha.

jeena marna raat din ekhi baat thi,
thi haqeeqat haseeN na hi khwab haseen tha.

baat us ki sun k mein hairaan reh gyaa,
wo meri ummeed se jyada kameen tha.

kya niyat pe kisee ki bharosa karoon,
apnee hi niyat pe mujhe kab yaqeen tha.

ban k wo anaarhi duaayen sab se le gya,
baaton se hi lag rahaa banda zaheen tha.


"Anaarhi"

26th April 2011


waah anaadhi saab.. kya likhte hain aaap.. padhkar bas mazaa aa jata hai... aur mashallah jis tarah se urdu ke alfaazon ka istemaal karte hain usme koi bhi lafz jabardasti thussaa hua nahi maloom hota... nihaayat khubsurti se sajaae gaye is kalaam ko shaad ka salaam...... likhte rahiyega, aage bhi intezaar rahega aise dilfareb ehsaason ka...

shaad.


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 87
29th April 2011, 01:20 PM

aaino se utth chukaa aitbaar meraa,
fark yoon to aks mein kaafee maheen tha.


Good One ........ Anaarhi Ji !!

Nice Expression .... dilee daad aur mubaaraqbaad ... !

yunhi likhte rahiye .... khush rahen ... !




YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...


---Naresh Mehra----
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote
Old
  (#6)
anaarhi
Talib-e-ilm
anaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to beholdanaarhi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 213
Join Date: Aug 2010
Location: NOIDA (U.P.)
Rep Power: 23
3rd May 2011, 09:49 AM

Quote:
Originally Posted by loveforgudia View Post
[CENTER]
Ji ... lijiye hum itane dino se aaye nahi the naa site pe.. to aap ki jitani bhi ghazalon pe reply dena missed kiya un sab ke reply ek hi ghazal pe ek saath de diye ....Kitani shaamat laa di aaj aap ki ... hehehehehehhe

Waise aap to har baar hi itanaa achchha likhate hai .. aur hum har baar itani Taareef nahi kar sakte ... areee Tareef ke liye shabd bhi to hone chaahiye na humaare paas .. To is baar aap ki thodi Buraayi hi kar li .. hahahahha

ab dekhiye padhane waale par hai ke woh aap ke likhe ko kya review dete hai ... so upar likhi Saari Sharaarato ke liye hum bhalaa kyon maafi maange ... hum nahi maangate koi maafi waafi ... heheheheheh

Bahot Masti Mazaak kar liya .. ab aate hai aap ki Ghazal pe .. Ji har baar ki tarhaa aap ki ghazal bahot hi pasand aayi hume ... Saare hi sher ek se badh kar ek lage ... aur har ehsaas dil pe dastak de gayaa ... Bahot hi khoob andaaze bayaan rahaa aap ka ... apne andar chal rahi kashmaksh mai dube ehsaason ko bahot hi achchhe se aap ne shabdo mai dhaala hai ...

Aap ki ghazal sach mai bahot achchhi lagi .. yunhi likhate rahiyegaa .. aur is mahefil mai chaar chaand lagaate rahiye ... apna khayaal rakhiyega.. Waise Masti mazaak mai likhi koi bhi baat aap ki naraazagi ki wajhaa bane to hum maafi chaahenge ...

Bhagwaan Ji aap ko har khushi de,

Aapki Dost: Chandani .... abhi theek hai naa ??? heheheheh

Jay Ambe
Gudiya ji oh no chandni ji,

namaskaar,

aap ka bahut bahut shukriya k aap itne din baad sdc pe nazar aayeen aur fir meri post ko zaroorat se zyada ehmiyat di. aap ka tahe dil se shukarguzaar hoon.
ji aap k jitney bhi aitraaz hain wo har sher ki pehli line se taal'luk rakhtey hain un sabhi k jawaab har sher ki doosri line mein mauzood hain.
Agar fir bhi kisi safaaee ki zaroorat hogi to banda hardam hazir hai.

regards
aapka

anaam urf anaarhi.

_____________________________________________

Janaab Kashif sahab,

Aadaab,

Janaab peshkash pasand kerney ka tahe dil se shukarguzaar hoon.

Regards

"Anaarhi"
-------------------------------------------


Shaad Bhai,

Aadaab,

bhai kya kahoon aap to hameshan hi is nacheez ko itna oopar chrhaa detey hain. tahe dil se shukriya , yoon hi saath barkaraar rakhna ji.

regards

"anaarhi"

---------------------_______-----_____-----_____------


Bade bhai,
Namaskaar,

yoon hi saaath detey rahiye ham yoon hi likhtey rahenge.

regards
"Anaarhi"



Last edited by anaarhi; 3rd May 2011 at 09:52 AM..
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com