kwahish ji namaskaar
aapka reply padha maine mujhe lagta hai aapne mere thread ko kuch jayda hi jayati taur par le liye mujhe maaf kijiyega mera iraada bilkul bhi kisi ko hurt karne ka nahi tha aapne kaha hai ki
(Aapka jo khayaal hai shayad aapke liye sahiN ho per ek baat aapko bata duN yahaaN har koi har kisi ke post per reply karta hai.......) to maine apne pehle hi line mein ye likhaa hai ki ho sakta hai meri sonch galat ho.... main khud apni baat par kayam nahi hoon ye mera sirf ek khayaal hai maine kisi ek par ilzaam nahi lagaya hai. fir bhi aapko aisa laga to uske liye tahe dil se maafi.
ab aapki dusari baat aapne ye kaha ki
(Ab shayad aapki yeh shikayat hogi ke aapke threads per jyada reply's nahi pade to janab....... maiN apni baat kahta huN mujhe auroN ka nahi pata shayad aapki koi thread meri nazar se nahi gayi ho yaa phir woh wakai jhuti tarif ke kabil rahi hogi to maine reply nahi kiya..... ab auroN ki baat aap se karta huN aapne abhi tak kitne posts per reply kiye hai...)
to kwahish ki mujhe bilkul bhi ye shikayat nahi hai ki kisi ne mere threads par reply nahi kiya balki maine to khud kaha hai ki mujhe bahut se reply mile hain
(kai kavitaye post ki, bahut acche comments bhi mile mujhe.) magar aapne na jane mere is sadharan si baat ko kyon shikayat samaj le aur aapne mujhe hi nishaane par rak diya khair koi nahi sabki apni sonch hoti hai aapki sonch ki bhi main kadrr karta hoon.....
aur sabse aakhri aapki ye baat thi ki
(So dost aapse guzarish hai pahele aap apna kartavya nibhaye aur bad meiN auroN ko samjhaye.....) ho sakta hai maine apna kartavya nahi nibhaya ho kya sakta hai,,,, hai wajah sirf ye ki mujhe aap logon jaisi kavita ko samjhne ki samjh nahi hai, main koi kavi nahi hoon, koi shayar nahi hoon, mere ek shukh hai jab bhi kuch shabd mere man mein ghoomte hain to maine unhey kabhi mobile ke sms box main ya kabhi purs mai pade kisi visiting card ke peeche likh leta hoon. aur jabhi bhi thoda waqt milta hai use yahan post kar deta hoon taki zindgi ke kinhee lamho mein main in pal ko yaad kar sakoon. mere paas jayada online hone ka samay nahi mil pata isliye apni kavita post kar deta hoon. kabhi kabhi koi kavita acchi lagti hai to unhey padh kar preyrit hota hon magar haan reply nahi kar pata,
yakin janiye maine kisi ko kuch samjhane ki koi bhi kosis nahi ki hai ye sab mera ek khayal tha, ek sonch thi meine to apne thread mein ye likha tha ki
(main to bas ye jaanna chahta hoon ki jo cheez mujhe mehsoos hui kya kisi aur ko bhi hui hai. ) bas jayada kuch nahi
maine apne thread main pehle hi sab se mafi maang li the magar main fir aapse bhi ek baar maafi chahoonga ki aapko mera ye post karna bura laga. chahe to admin sahab is post ko hamesha ke liye delete kar sakte hain mujeh koi aapatti nahi hogi