Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
koee din gar zindagaanee aur hai - by Mirza Ghalib
Old
  (#1)
Mahek
Registered User
Mahek will become famous soon enoughMahek will become famous soon enough
 
Mahek's Avatar
 
Offline
Posts: 166
Join Date: May 2002
Location: US
Rep Power: 23
koee din gar zindagaanee aur hai - by Mirza Ghalib - 23rd January 2003, 12:42 AM

koee din gar zindagaanee aur hai
apne jee meiN hamne THaanee aur hai

aatish-e-dozaKH* meiN ye garmee kahaaN
soz-e-GHam haay nihaanee* aur hai

baarha dekhee haiN unkee ranjishaiN
par kuchch ab ke sar_giraanee aur hai

deke KHat muNh dekhta hai naamabar*
kuchch to paiGHaam-e-zabaanee aur hai

qaata-e-'amaar* hai aksar nujoom*
woh balaa-e-aasmaanee* aur hai

ho chukeeN 'GHalib' balaayeN sab tamaam
ek marg-e-naagahaanee* aur hai

-------------------------------------------------------------------------------
*dozaKH = hell
*nihaanee = internal/hidden
*naamabar = messenger
*qaata-e-'amaar = killers
*nujoom = stars
*balaa-e-aasmaanee = natural calamity
*marg-e-naagahaanee = sudden/accidental death
  Send a message via Yahoo to Mahek  
Reply With Quote
Old
  (#2)
figaar-e-ghulab
Registered User
figaar-e-ghulab is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 12
Join Date: Sep 2002
Location: California
Rep Power: 0
25th January 2003, 03:29 AM

Adaab,

Bohaut bohaut shukria aisea mehjabeen khoish bazm key nazar pesh kar nay kay liyea. Ghalib key har ek lehja toe hoe tea he makhmoor hain, aur kabhi kabhi unn kay alfaaz hum jaison kay zindagie key rang mein bhi nikhar jaa tea hain. Aisea he dil fareb khoish key umeed mein.
figar e ghulab.
(wounded by the rose)


iltafaat samajhuu.N yaa beruKhii kahuu.N is ko
rah gaii Khalish ban kar usakii kamanigaahii bhii
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
ManishK
Registered User
ManishK will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 11
Join Date: Mar 2003
Location: India
Rep Power: 0
9th March 2003, 09:20 PM

Bahut umda ghazal choose ki hai aapne

Share karne ka sukriya

regards
Manish


mere mahabuub mere dost nahii.n ye bhii nahii.n
merii bebaak tabiiyat kaa takaazaa hai kuchh aur
  Send a message via Yahoo to ManishK  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Mirza Ghalib farhana Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 22nd September 2005 01:32 AM
Mirza Ghalib farhana Shayri-e-Mashahoor Shayar 2 21st September 2005 10:35 PM
mirza ghalib land_cruiser Shayri-e-Ishq 0 19th February 2005 08:01 AM
~Mirza Ghalib~ aman_suhan Shayri-e-Ishq 0 17th February 2005 06:58 PM
koee ummeed bar naheeN aatee - by Mirza Ghalib Mahek Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 23rd January 2003 12:50 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com