Quote:
Originally Posted by ufaq
Achcha aghaaz hai....lekin ek lafz ek hafte tak.......siikhne ki raftaar bahut dhiime ho jaayegi.......mujhe lagta hai ....har roz ek naya alfaaz hona chaahiye......ab ek din me'n ek naya lafz siikhna koi badi baat to nahi hai......sirf meri haqiir raay hai......aur kuch nahi'n....
|
Ufaq sahab, tashreef paane ka bahaut bahaut shukriya. Is koshish meiN aap jaise Urdu ke achchhe jaankaar ke saath ki bahaut zaroorat rahegi. Ji agar seekhne ki raftaar badh sake to is se achchhee aur kya baat ho sakti hai. ummeed hai lafz dene ki raftaar zaroor badhe members ke responses ke saath.
Aaghaazi daur meiN ek lafz ko ek hafte tak rakhne ki do wajaheiN haiN.
1. Zyada se zyada members ki cumulative wisdom mil sake har lafz par. Kyunki sabhi members har roz tashreef naheen laate hain, is liye shuruaati daur meiN ek hafte ka waqt diya gaya hai. Aage koshish rahegi ki raftaar badha sakein jaisa ki aap farmaa rahe hain.
2. Yahaan maqsad ye rahega ki kisi bhi lafz ka mafhoom samajhne ke saath saath us ke mukhtalif pehluoN aur raNgoN ka bhi nazaara kiya jaaye, taki us lafz ko hum gehraayee se seekh paayeiN. Ummeed ye hai ki alag alag members apne qalaam se lafz ke alag alag pehluoN ko saamne laayenge. Is liye lafz par kuchh original kehne ke liye un ko sahi waqt milna chaahiye. Agar ye kaam ek hafte se kam meiN hota hua sukhan dega to nothing like it

raftaar badha sakte hain. ek din meiN ek lafz kya, ek din meiN do lafz bhi saamne rakh skate haiN

but I suggest we take one step at a time
Ummeed hai isee tarah aap ke khayaalaat humeiN milte raheNge ..... aur is activity par aap ke qalaam ka bhi intezaar rahega
