Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Personal Messages > Introduction Forum

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Nisha Jii Ka Interview
Old
  (#1)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
Nisha Jii Ka Interview - 31st July 2009, 09:57 PM

DostoN is mahine hum interview karenge Nisha (nisha_virgo16) jii ka....nisha ji takhreeban 5 saal se shayri parivaar se judi huwi hai.....ye jo bhi likhti hain, inke ehsaas bohat acche aur sacche hotey hain..

waise main khud inke baare me zyada nahi jaanti...chaliye inke baare inki hi zubaani sunenge...

Nisha ji interview thread per aapka swaagat hai..

1. Apne baare me kuch bataiye, aapki family friends education, profession , hobbies..etc

2.sharyi .com se aap kab aur kaise judi?

3.shayri ka shaouq aapko kab se hai?

4.shayri parivaar me aapke sabse pasandida shayer kaun kaun hain..

5.shayri.com ke ab tak ke aapke safar se jude kuch haseeN lamhe humse share kijiye..

chaliye filhaal itna hii..aapse kuch aur sawaal puchna dubaara hazir ho jaungi

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#2)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
1st August 2009, 05:06 PM

Nisha jee,

aadaab arz hai!

mai.n puure shayri.com ke jaanib se, is interview ke kaTghare me.n aap ka khaer-maqadam karta huu.n.. aur duaa karta huu.n ki mahine bhar ka aap yeh mukaalmaa aap ke liye aur puure shayri.com ke liye achchha rahe...

to jaise ki zainy jee ne puuchha hai, aap apne baare me.n bataane kii takhliif keejiye.. ham phir haazir hote hai.n, apne sawaalo.n ke saath... par break ke baad...

Mayank

Last edited by Mayank; 1st August 2009 at 05:16 PM..
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#3)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
1st August 2009, 11:49 PM

5 saal se hai to maiN kaise nahi jaanta .. aisa kaise ho gaya ..

KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#4)
NISHA_VIRGO16
raat ki tanhaii
NISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to behold
 
NISHA_VIRGO16's Avatar
 
Offline
Posts: 582
Join Date: Feb 2004
Location: kolkata
Rep Power: 30
3rd August 2009, 11:40 AM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
Nisha ji interview thread per aapka swaagat hai..

1. Apne baare me kuch bataiye, aapki family friends education, profession , hobbies..etc

2.sharyi .com se aap kab aur kaise judi?

3.shayri ka shaouq aapko kab se hai?

4.shayri parivaar me aapke sabse pasandida shayer kaun kaun hain..

5.shayri.com ke ab tak ke aapke safar se jude kuch haseeN lamhe humse share kijiye..

chaliye filhaal itna hii..aapse kuch aur sawaal puchna dubaara hazir ho jaungi

zainy ji...

thanks for having me here....
sabse pehle i'm really sorry main der se jawaab de rahi hun.... thodi busy ho gai thi isliye do din se site pe aa hi nahin pai.....
chaliye... ab aapke sawaalon ka jawaab dena shuru karti hun.....

1. Main calcutta mein rehti hun... hamari nuclear family hai.... filhaal to sirf main aur mummy saath rehte hain... kuch problems ki wajah se dad aur bhai hamare saath nahin rehte.... yaani in total... family mein mom, dad, ek bada bhai aur main....
haan... ek parivaar aur bhi hai mera..... magar afsos unke saare members ke naam main nahin jaanti.... aur agar jaanti bhi to likhna shuru karti to 11,000 members ke naam likhte likhte mahina nikal jaata....
B.Com Hons karne ke baad main mba karna chahti thi... par dad ki tabiyat kharab hone jki wajah se poora time ghar pe dena pada... isliye... graduation ke aage pada nahin.... fir mera interest tarot reading pe shift ho gaya.... bas usi ki padai se aaj tak fursat nahin mili hai....
tarot reading shaukiya shuru kiya tha.... aur jab khud pe cinfidence aa gaya to usi ko professionally le liya.... its always better to do something you really love... waise bhi ghar se job ka permission tha nahin..... mummy khud business mein hain to unhein lagta hai ki mera kaam karna society accept nahin karegi jiska namuna main dekh bhi chuki hun... aur mom transport line mein hone ke kaaran mujhe office mein baithne nahin deti.... to bas.... main aur mere cards....

2. jaisa ki aapne kaha ki takreeban 5 saal se main is parivaar se judi hui hun.... us waqt khud kuch khaas likhti nahin thi.... aaj sochti hun to hansi aati hai par site join sirf isliye kiya tha taaki kuch sher aur gazals copy paste kar sakun... dheere dheere main kaafi waqt sdc pe hi bitaane lagi.... aur bas kuch isi tarah is parivaar mein shaamil ho gai.....

3. Shayri ka mujhe i guess class 10 se craze hua... us waqt to sirf padne ka shauk tha.... sms mein zyada tar sher aate the... aur kuch books bhi khareedti thi main..... samajh mein to kuch aata tha nahin... par haan padti zaroor thi..... maine 1st year mein pehli baar kuch likha tha.... "Khoj"... bas uske baad... shayri bhi zindagi ka ek hissa ban gai.....

4. Well... no pollitical correct answers.... mere favourite Rajveer ji aur Mayank ji hain....

5. Ek baar ki baat hai... dilip ji ne ek gazal post ki thi.. "Jab Tum Miley"... maine jab use pada to reply karte waqt ek sher likh diya tha.... dilip ji ne uska jawab ek aur sher mein diya.... aur maine bhi jawab sher pe hi diya tha.... is tarah se us thread pe hamari tukbandi shuru ho gai thi.... jo kaafi dino tak chalti rahi.... uske baad humne ek thread hi shuru kar diya tha... "sawaal aur unke haseen jawaab" ke naam se.... ye waakiya mujhe hamesha yaad rahega.....

chaliye... itne sawaalon ka to jawaab ho gaya....
ummeed hai aapko niraash nahin kiya hoga...
aapke aur sawaalon ke intzaar mein
aapki
nisha

Go zaraa si baat par barsoN ke yaaraane gaye...
par itnaa to huaa, kuchh log pahchaane gaye...
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
NISHA_VIRGO16
raat ki tanhaii
NISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to behold
 
NISHA_VIRGO16's Avatar
 
Offline
Posts: 582
Join Date: Feb 2004
Location: kolkata
Rep Power: 30
3rd August 2009, 11:46 AM

Quote:
Originally Posted by Mayank View Post
Nisha jee,

aadaab arz hai!

mai.n puure shayri.com ke jaanib se, is interview ke kaTghare me.n aap ka khaer-maqadam karta huu.n.. aur duaa karta huu.n ki mahine bhar ka aap yeh mukaalmaa aap ke liye aur puure shayri.com ke liye achchha rahe...

to jaise ki zainy jee ne puuchha hai, aap apne baare me.n bataane kii takhliif keejiye.. ham phir haazir hote hai.n, apne sawaalo.n ke saath... par break ke baad...

Mayank
Mayank jee....
i m really sorry par mujhe itni urdu nahin aati...

zainy ji ke sawaalon ka to jawab maine de diya....
ab aapke sawaalon ke intzaar mein hun...

aapki
nisha

Go zaraa si baat par barsoN ke yaaraane gaye...
par itnaa to huaa, kuchh log pahchaane gaye...
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
3rd August 2009, 11:59 AM

NiSha jee:

namaste!

kaise hai.n aap?

Shayri Parivaar ke kaThGhare meiN aapka maiN tah-e-dil se swaagat kartaa huuN.. Best of Luck!

kuch sawaaloN ke saath haaZir hotaa huuN! filhaal ke liye ijaazat!

apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~ Dhaval

*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Thumbs up 3rd August 2009, 02:55 PM

hmmmm...........es baar nisha good very good.

Dear Nisha.....bahut accha laga tumhe yahan dekh kar...umeed hai tum es interview ko bahut imaandaari se aur dil se nibhaogi....es interview mein tumhara dil se suwagat hai.

tumhari dii

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#8)
NISHA_VIRGO16
raat ki tanhaii
NISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to behold
 
NISHA_VIRGO16's Avatar
 
Offline
Posts: 582
Join Date: Feb 2004
Location: kolkata
Rep Power: 30
3rd August 2009, 07:09 PM

Quote:
Originally Posted by sacccha_pyar View Post
5 saal se hai to maiN kaise nahi jaanta .. aisa kaise ho gaya ..

kunaal jee....

iska jawaab to bahut aasaan sa hai... mere number of posts dekh lijiye... samajh jaiyega ki aisa kaise ho gaya...
main beech mein kaafi dino tak sdc se gayab thi....
aur isi wajah se itni puraani hokar bhi yahan bilkul nai hun.....

ab samjhe????

Go zaraa si baat par barsoN ke yaaraane gaye...
par itnaa to huaa, kuchh log pahchaane gaye...
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
NISHA_VIRGO16
raat ki tanhaii
NISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to behold
 
NISHA_VIRGO16's Avatar
 
Offline
Posts: 582
Join Date: Feb 2004
Location: kolkata
Rep Power: 30
3rd August 2009, 07:11 PM

Quote:
Originally Posted by dhavalrami4you View Post
NiSha jee:

namaste!

kaise hai.n aap?

Shayri Parivaar ke kaThGhare meiN aapka maiN tah-e-dil se swaagat kartaa huuN.. Best of Luck!

kuch sawaaloN ke saath haaZir hotaa huuN! filhaal ke liye ijaazat!

apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~ Dhaval

shukriya dhaval ji...

main bilkul theek hun... aap apni sunaiye...
aapke sawaalon ka intzaar rahega...

aapki
nisha

Go zaraa si baat par barsoN ke yaaraane gaye...
par itnaa to huaa, kuchh log pahchaane gaye...
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
NISHA_VIRGO16
raat ki tanhaii
NISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to behold
 
NISHA_VIRGO16's Avatar
 
Offline
Posts: 582
Join Date: Feb 2004
Location: kolkata
Rep Power: 30
3rd August 2009, 07:15 PM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
hmmmm...........es baar nisha good very good.

Dear Nisha.....bahut accha laga tumhe yahan dekh kar...umeed hai tum es interview ko bahut imaandaari se aur dil se nibhaogi....es interview mein tumhara dil se suwagat hai.

tumhari dii

hiiii dii....

thanks....
aapko yakeen dilaati hun ki is interview mein main koi beimaani nahin karungi.... pakka promise.....

aapki
nisha

Go zaraa si baat par barsoN ke yaaraane gaye...
par itnaa to huaa, kuchh log pahchaane gaye...
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 87
3rd August 2009, 07:45 PM

Quote:
Originally Posted by NISHA_VIRGO16 View Post
zainy ji...

thanks for having me here....
sabse pehle i'm really sorry main der se jawaab de rahi hun.... thodi busy ho gai thi isliye do din se site pe aa hi nahin pai.....
chaliye... ab aapke sawaalon ka jawaab dena shuru karti hun.....

1. Main calcutta mein rehti hun... hamari nuclear family hai.... filhaal to sirf main aur mummy saath rehte hain... kuch problems ki wajah se dad aur bhai hamare saath nahin rehte.... yaani in total... family mein mom, dad, ek bada bhai aur main....
haan... ek parivaar aur bhi hai mera..... magar afsos unke saare members ke naam main nahin jaanti.... aur agar jaanti bhi to likhna shuru karti to 11,000 members ke naam likhte likhte mahina nikal jaata....
B.Com Hons karne ke baad main mba karna chahti thi... par dad ki tabiyat kharab hone jki wajah se poora time ghar pe dena pada... isliye... graduation ke aage pada nahin.... fir mera interest tarot reading pe shift ho gaya.... bas usi ki padai se aaj tak fursat nahin mili hai....
tarot reading shaukiya shuru kiya tha.... aur jab khud pe cinfidence aa gaya to usi ko professionally le liya.... its always better to do something you really love... waise bhi ghar se job ka permission tha nahin..... mummy khud business mein hain to unhein lagta hai ki mera kaam karna society accept nahin karegi jiska namuna main dekh bhi chuki hun... aur mom transport line mein hone ke kaaran mujhe office mein baithne nahin deti.... to bas.... main aur mere cards....

2. jaisa ki aapne kaha ki takreeban 5 saal se main is parivaar se judi hui hun.... us waqt khud kuch khaas likhti nahin thi.... aaj sochti hun to hansi aati hai par site join sirf isliye kiya tha taaki kuch sher aur gazals copy paste kar sakun... dheere dheere main kaafi waqt sdc pe hi bitaane lagi.... aur bas kuch isi tarah is parivaar mein shaamil ho gai.....

3. Shayri ka mujhe i guess class 10 se craze hua... us waqt to sirf padne ka shauk tha.... sms mein zyada tar sher aate the... aur kuch books bhi khareedti thi main..... samajh mein to kuch aata tha nahin... par haan padti zaroor thi..... maine 1st year mein pehli baar kuch likha tha.... "Khoj"... bas uske baad... shayri bhi zindagi ka ek hissa ban gai.....

4. Well... no pollitical correct answers.... mere favourite Rajveer ji aur Mayank ji hain....

5. Ek baar ki baat hai... dilip ji ne ek gazal post ki thi.. "Jab Tum Miley"... maine jab use pada to reply karte waqt ek sher likh diya tha.... dilip ji ne uska jawab ek aur sher mein diya.... aur maine bhi jawab sher pe hi diya tha.... is tarah se us thread pe hamari tukbandi shuru ho gai thi.... jo kaafi dino tak chalti rahi.... uske baad humne ek thread hi shuru kar diya tha... "sawaal aur unke haseen jawaab" ke naam se.... ye waakiya mujhe hamesha yaad rahega.....

chaliye... itne sawaalon ka to jawaab ho gaya....
ummeed hai aapko niraash nahin kiya hoga...
aapke aur sawaalon ke intzaar mein
aapki
nisha
Nisha ji....Maine abhi abhi aapka interview padha...aapne har sawal ka jawaab bade thehre hue alfazo mai diya...aur har sawal ke jawaab ke saath hum aapko jante aur samajhte chale gaye....is interview se hame aapko janne aur samajhne ka toh mauka mila hi.....saath hi pehle se aur nazdik aane ka isthaan bhi banta hua dikhai diya....woh isthaan sdc parivaar ke dosto ke beech aapki khubiyon aur aapke mehatab ka ek zaruri rishtaa.

YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...

---Naresh Mehra----

Last edited by naresh_mehra110; 3rd August 2009 at 07:50 PM..
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote
Old
  (#12)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
3rd August 2009, 08:46 PM

Nisha jee,

aap ka mukhatasir sa taaruf(chhoTa sa introduction) paDhaa aur aap ke baare me.n kuchh jaanne ka mauqaa milaa.. kuchh sun kar achchha laga to kuchh sun kar dukh huaa.. mai.n aap ke himmat ki daad deta huu.n, jo aap ne apni zindagii ke achche/bure panne ko khule aam sab ke saamne rakh diyaa.. sab ko apne baare me.n bataana bohat hii mushkil kaam hai.. bohat hii kam log hai.n jo yeh kaam iimaandaari se karte hai.n.. aur aap un me.n se ek hai.n yeh ek baDI baat hai..

Nishaa jee, yeh mere liye bohat hii hausilaa aur izzat afzaaii ki baat hai ki, aap ne shayri.com ke apne pasandidaaah shayaro.n me.n mujhe rakkhaa, is ke liye tah-e-dil se shukriyah aap ka.. (haalaa.nki, yeh baat aur hai ki, mai.n khud ko shaayar nahii.n maan,ta huu.n, aur naa hi mere jaan,bne waale jaante hai.n ki, mai.n kabhii kabhaar shayri bhii kar leta huu.n )

Nishaa jee, aate hai.n aap se kuchh sawaal ki taraf...

1)yeh bataaiye ki aap ko koii binaa wazah pareshaan karta rahe jab aap ka us se koii waasta bhi na ho to aap usay kab tak ignore kare.ngii.. yaani kii kitni patience hai aap me.n?

2) aap kyaa samjhtii hai.n kii 'kyaa zindagii me.n jo kuchh bhii hota hai woh qismatka tohfaa hai... kyaa insaan qismat badal sakta hai.... koii muqaddar ka suikandar ho saktaa hai? kahane se muraad yeh hai ki agar aap ke life me.n kuchh buraa hota hai to aap dosh qismat ko de.ngii?'

mere khayaal se sawaal zeyaadah mushkil nahii.n hai...

Mayank

Last edited by Mayank; 3rd August 2009 at 09:00 PM..
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#13)
NISHA_VIRGO16
raat ki tanhaii
NISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to behold
 
NISHA_VIRGO16's Avatar
 
Offline
Posts: 582
Join Date: Feb 2004
Location: kolkata
Rep Power: 30
4th August 2009, 01:39 PM

mayank jii

ye aapka badappan hai ki aap khud ko shayar nahin maante.... warna mere alawa bhi sdc ke kai members aapke pankhe aur ac ban chuke hain....

chaliye aapke sawaalon pe aate hain...

1) Is maamle mein mujhmein zara bhi patience nahin hai.... jo mere apne hain, unse main kabhi tang nahin hoti hun.... par koi ajnabi mujhe pareshaan kare to main bahut jaldi gussa ho jaati hun.... zyada se zyada 4-5 minute hi tolerate kar paati hun.... aur usse zyada hua tab to bechare ki khair nahin...

2) Mera manna hai ki qismat ka likha koi nahin badal sakta.... par bhagwaan yuhin kisi ki kismat nahin likh dete.... wo insaan ko apni kismat khud chunne ka mauka dete hain...
hamari qismat ka faisla hamare karam karte hain... zindagi ke har mod par humein dorahe milte hain.... aur har raaste ka apna alag naseeb hota hai.... aur bhagwaan ye hamare haathon mein choRte hain ki humein kaun sa rasta chunna hai.... sahi raah chuni to mukaddar khud humein sikandar ka taaj pehna deti hai aur agar galat raah chun li to yahi aapko apne pairon tale raundkar rakh deti hai.....
Insaan ki fitrat hoti hai ki wo kabhi bhi apni galti ka bhaar khud nahin uthata.... aur khud ko khush karne ke liye wo saara dosh naseeb pe saump deta hai... main bhi ek insaan hi to hun... isliye jhoot nahin kahungi, par aksar main bhi naseeb ko hi doshi thehraati hun... kyunki khud ki galtiyon ko sweekaarna kabhi kabhi mushkil ho jaata hai..... par haan.... mujhe koi shikwe shikayatein nahin hain... na naseeb se na apne bhagwaan se.... na jaane kyun??? par dil ko ye sukoon hamesha rehta hai ki jo bhi ho raha hai kuch na kuch achche ke liye hi ho raha hai.....

isi ke saath aapke dono sawaalon ke jawaab poore ho gae.....
ummeed hai aapko niraash nahin kiya hoga....
aapki dost
nisha

Go zaraa si baat par barsoN ke yaaraane gaye...
par itnaa to huaa, kuchh log pahchaane gaye...
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
Ek Ehsaas
Couldn't Care Less
Ek Ehsaas has much to be proud ofEk Ehsaas has much to be proud ofEk Ehsaas has much to be proud ofEk Ehsaas has much to be proud ofEk Ehsaas has much to be proud ofEk Ehsaas has much to be proud ofEk Ehsaas has much to be proud ofEk Ehsaas has much to be proud of
 
Ek Ehsaas's Avatar
 
Offline
Posts: 2,652
Join Date: Mar 2007
Location: Delhi
Rep Power: 30
4th August 2009, 03:01 PM

Nisha Ji aapne kaha ki aap bahut honestly answer karengi. I'll ask u a few difficult questions (apparently they was asked to a tarrot card reader in TV soap "Sach ka Samna").. Hope u'll b honest (however we dont have a lie detector installed here)

1. Have u ever shared the secrets of ur clients with any of ur family / relatives / friends / anyone else?

2. Have u ever lied/cheated any of the clients for more money or any other reason?

3. Have u tried tarrots on urself or ur family / friends / etc. ????

Now here's a way out... U may choose to ignore any / all the questions in case they are too personal

Who Cares.....
  Send a message via Yahoo to Ek Ehsaas  
Reply With Quote
Old
  (#15)
kwahish
An Incomplite Dream
kwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud of
 
kwahish's Avatar
 
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
4th August 2009, 03:50 PM

Nisha jii

aapko yahan dekhaker behad khushi hui, aur aapne jis tarha aapni sachi se sawalon ke jawab diye hai jaan ker bahut khushi hui....

Waise main to aapke baareN mein kuch janta hi nahi tha magar isi bahane aap ko janne ka mauka mila hai aur puchne ka to kuch aur bhi jaan jauN.....

Well abhi to best wishes hi dene aaya huN jald hi kuch sawal lekar aa jaunga.......
Tab tak aap mujhe bhi jaan jayengii......

Take care and be happy...

  Send a message via Yahoo to kwahish  
Reply With Quote
Old
  (#16)
NISHA_VIRGO16
raat ki tanhaii
NISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to behold
 
NISHA_VIRGO16's Avatar
 
Offline
Posts: 582
Join Date: Feb 2004
Location: kolkata
Rep Power: 30
4th August 2009, 04:00 PM

Quote:
Originally Posted by Widhani View Post

Widhani jii....
Maine wo episode dekha tha.... and trust me.... mujhe kisi bhi sawaal ko ignore karne ki zaroorat nahin hai.... and i promise i'll be honest....

1. No... i havent shared any of my clients problems with any of my friends or relatives or anybody else.... ye tarot cards ke rules ke against hai... aur waise bhi.... aajkal ki duniya mein logon ko aksar apni problems se fursat nahin milti, wo logon ki life ki problems jaan kar kya karenge????

2. No.. i am into tarot cards coz i love doing it... not because i wanna make money out of it.... i charge my clients so that i can do justice to their session... if i charge them, i know i have to be my best to give them their money's worth.... moreover i beleive in my cards the way i beleive in god... to yahan cheat karne ka to sawaal hi nahin hota....

3. i have tried my cards on my friends and family members.... but never on myself.... i'm too scared to face the future....

wish we could have a lie detector here.... aapke paas fir shak ki wajah nahin hoti...... par filhaal mere waade se hi kaam chala lijiye....

aapna khyal rakhiyega...
aapki dost
nisha

Go zaraa si baat par barsoN ke yaaraane gaye...
par itnaa to huaa, kuchh log pahchaane gaye...
   
Reply With Quote
Old
  (#17)

4th August 2009, 04:04 PM

Quote:
Originally Posted by kwahish View Post
Nisha jii

aapko yahan dekhaker behad khushi hui, aur aapne jis tarha aapni sachi se sawalon ke jawab diye hai jaan ker bahut khushi hui....

Waise main to aapke baareN mein kuch janta hi nahi tha magar isi bahane aap ko janne ka mauka mila hai aur puchne ka to kuch aur bhi jaan jauN.....

Well abhi to best wishes hi dene aaya huN jald hi kuch sawal lekar aa jaunga.......
Tab tak aap mujhe bhi jaan jayengii......

Take care and be happy...
sameer jii...

aapne waqt nikaalkar is interview ko pada uske liye tah-e-dil se shukriya....
aap jo chahein pooch sakte hain.... main poori koshish karungi ki aapke sawaalon ka poori imaandaari se jawaab de sakun...
thanx once again for ur good wishes....
take care
be happy

nisha

Go zaraa si baat par barsoN ke yaaraane gaye...
par itnaa to huaa, kuchh log pahchaane gaye...
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
5th August 2009, 11:45 AM

Nisha jee..

accha hai ya bura ki maiN aapko nahi jaanta tha .. ye mujhe nahi pata.. par umeed hai ki aap mujhe jaanti hi hoNgi..khair .Abhi tak bohat kuch likha jaa chuka aur bohat kuch maiN padh chuka huN.. insaanoN ko padh lene ki buri aadat hai mujhme.. bas itna keh sakta huN .. ki aap bohat suljhi hui.. har baat pe gaur karne wali aur ek maturity se bhari hui shakshiyat hai .. mujhe wakai khushi hogi aapko jaane maiN.. maiN waapas aauNga .. aur aapse poochunga.. waqt ki kami kahin na kahiN humeN zaroor rokti hai .. aur no doubht aapse jyada sujhi hue tareeke se yahan kisi ne jawaab nahi diye...

bhagwaan aapko khushi de

Kunaal

KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#19)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
5th August 2009, 10:06 PM

Dear Nisha
tumne bahut saaf saaf lafzo.n mein apne bare mein bataya, kuch accha laga jaankar aur kuch jaan kar dukh hua, dear esi ka naam zindgi hai.

"jo hum chaheN woh mil jaye aisa kahaN hota hai,
wahi milta hai hume jo manjoor-e-khuda hota hai"

ab tumse main sawaal kya karuN.....

1. agar tumhe phir se apne bachpan mein jane ka ek mokka khuda deN to tum jana chahogi kya ???

2. SDC par aakar kya khoya kya paaya ???

3. SDC tumhari zindgi mein kya ahmiyat rakhti hai ???

bas etna hi jayada sawaal mujse pooche nahi jate

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#20)
dilip200
Adhoori Aas
dilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud of
 
dilip200's Avatar
 
Offline
Posts: 1,543
Join Date: Jul 2006
Location: india , shivpuri
Rep Power: 31
6th August 2009, 08:24 AM

Quote:
Originally Posted by NISHA_VIRGO16 View Post
zainy ji...

thanks for having me here....
sabse pehle i'm really sorry main der se jawaab de rahi hun.... thodi busy ho gai thi isliye do din se site pe aa hi nahin pai.....
chaliye... ab aapke sawaalon ka jawaab dena shuru karti hun.....

1. Main calcutta mein rehti hun... hamari nuclear family hai.... filhaal to sirf main aur mummy saath rehte hain... kuch problems ki wajah se dad aur bhai hamare saath nahin rehte.... yaani in total... family mein mom, dad, ek bada bhai aur main....
haan... ek parivaar aur bhi hai mera..... magar afsos unke saare members ke naam main nahin jaanti.... aur agar jaanti bhi to likhna shuru karti to 11,000 members ke naam likhte likhte mahina nikal jaata....
B.Com Hons karne ke baad main mba karna chahti thi... par dad ki tabiyat kharab hone jki wajah se poora time ghar pe dena pada... isliye... graduation ke aage pada nahin.... fir mera interest tarot reading pe shift ho gaya.... bas usi ki padai se aaj tak fursat nahin mili hai....
tarot reading shaukiya shuru kiya tha.... aur jab khud pe cinfidence aa gaya to usi ko professionally le liya.... its always better to do something you really love... waise bhi ghar se job ka permission tha nahin..... mummy khud business mein hain to unhein lagta hai ki mera kaam karna society accept nahin karegi jiska namuna main dekh bhi chuki hun... aur mom transport line mein hone ke kaaran mujhe office mein baithne nahin deti.... to bas.... main aur mere cards....

2. jaisa ki aapne kaha ki takreeban 5 saal se main is parivaar se judi hui hun.... us waqt khud kuch khaas likhti nahin thi.... aaj sochti hun to hansi aati hai par site join sirf isliye kiya tha taaki kuch sher aur gazals copy paste kar sakun... dheere dheere main kaafi waqt sdc pe hi bitaane lagi.... aur bas kuch isi tarah is parivaar mein shaamil ho gai.....

3. Shayri ka mujhe i guess class 10 se craze hua... us waqt to sirf padne ka shauk tha.... sms mein zyada tar sher aate the... aur kuch books bhi khareedti thi main..... samajh mein to kuch aata tha nahin... par haan padti zaroor thi..... maine 1st year mein pehli baar kuch likha tha.... "Khoj"... bas uske baad... shayri bhi zindagi ka ek hissa ban gai.....

4. Well... no pollitical correct answers.... mere favourite Rajveer ji aur Mayank ji hain....

5. Ek baar ki baat hai... dilip ji ne ek gazal post ki thi.. "Jab Tum Miley"... maine jab use pada to reply karte waqt ek sher likh diya tha.... dilip ji ne uska jawab ek aur sher mein diya.... aur maine bhi jawab sher pe hi diya tha.... is tarah se us thread pe hamari tukbandi shuru ho gai thi.... jo kaafi dino tak chalti rahi.... uske baad humne ek thread hi shuru kar diya tha... "sawaal aur unke haseen jawaab" ke naam se.... ye waakiya mujhe hamesha yaad rahega.....

chaliye... itne sawaalon ka to jawaab ho gaya....
ummeed hai aapko niraash nahin kiya hoga...
aapke aur sawaalon ke intzaar mein
aapki
nisha
dearest nisha......
yahan dekh kar accha lag raha hai, behad khushi ho rahi hai ki yahan tumhaara interview chal raha hai.... sabse jyada khushi mujhe is baat ko jankar huyii ki hamarii wo tukbandi ( offcouse tukbandi hii kahenge kyun ki shayri. na tum janti thin na main ) aaj bhii itnii gahraii se yaad hai....
shukriyaa ise yaad rakhne ke liye....

chalo ab ab kuch sawalat bhii kar leta hoon.

-1)) Dost bankar sare raah mil gaya suraj.
jara sii roshnii mangii to Dhal gaya Suraj.....

Is bare main aapka kya kahna hai......... aapki kya raai hai....

-2)) aapka kya manana hai ki acchi shayrii( jise hum dil se nikalii huyii aawaz kahte hain) ke liye shayar ki jindgii main ya to bahut jyada gam ya bahut jyada khushii ka hona jaroorii hai............

bus itna hii........ aapki Taang main jyda nahi kheechunga......

ishwar aapko sada khush rakhe......

aapka dost
Dilip

" Dilip " -Ek Adhoora khwab

Dard bantne se ab darr lagta hai
mere gamo ka usnane falsafa bana diya
  Send a message via Yahoo to dilip200  
Reply With Quote
Old
  (#21)
NISHA_VIRGO16
raat ki tanhaii
NISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to behold
 
NISHA_VIRGO16's Avatar
 
Offline
Posts: 582
Join Date: Feb 2004
Location: kolkata
Rep Power: 30
6th August 2009, 10:34 AM

Quote:
Originally Posted by sacccha_pyar View Post
Nisha jee..

accha hai ya bura ki maiN aapko nahi jaanta tha .. ye mujhe nahi pata.. par umeed hai ki aap mujhe jaanti hi hoNgi..khair .Abhi tak bohat kuch likha jaa chuka aur bohat kuch maiN padh chuka huN.. insaanoN ko padh lene ki buri aadat hai mujhme.. bas itna keh sakta huN .. ki aap bohat suljhi hui.. har baat pe gaur karne wali aur ek maturity se bhari hui shakshiyat hai .. mujhe wakai khushi hogi aapko jaane maiN.. maiN waapas aauNga .. aur aapse poochunga.. waqt ki kami kahin na kahiN humeN zaroor rokti hai .. aur no doubht aapse jyada sujhi hue tareeke se yahan kisi ne jawaab nahi diye...

bhagwaan aapko khushi de

Kunaal

kunaal jee...

shukriya aapne waqt nikaalkar is interview ko pada aur mujhe samajhne ki koshish ki....
maafi chahti hun par aapke baare mein zyada jaanti nahin hun main.... jaisa ki maine kaha ki sdc pe main kaafi dino tak nahin aa pai thi.... is wajah se yahan zyada logon ko jaanti nahin hun.... khair... ye baat bhi pakki hai ki ab jaan jaungi.....
aapke sawaalon ka intzaar rahega....
ek baar fir... duaon aur tareef ke liye shukriya....
poori koshish karungi ki apni imaandaari barkarar rakhun....

duaon ke saath
aapki dost
nisha

Go zaraa si baat par barsoN ke yaaraane gaye...
par itnaa to huaa, kuchh log pahchaane gaye...
   
Reply With Quote
Old
  (#22)
NISHA_VIRGO16
raat ki tanhaii
NISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to behold
 
NISHA_VIRGO16's Avatar
 
Offline
Posts: 582
Join Date: Feb 2004
Location: kolkata
Rep Power: 30
6th August 2009, 10:59 AM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
Dear Nisha
tumne bahut saaf saaf lafzo.n mein apne bare mein bataya, kuch accha laga jaankar aur kuch jaan kar dukh hua, dear esi ka naam zindgi hai.

"jo hum chaheN woh mil jaye aisa kahaN hota hai,
wahi milta hai hume jo manjoor-e-khuda hota hai"

ab tumse main sawaal kya karuN.....

1. agar tumhe phir se apne bachpan mein jane ka ek mokka khuda deN to tum jana chahogi kya ???

2. SDC par aakar kya khoya kya paaya ???

3. SDC tumhari zindgi mein kya ahmiyat rakhti hai ???

bas etna hi jayada sawaal mujse pooche nahi jate

Hiiii Dii......

di.. achche bure palon ko jodkar hi to zindagi banti hai.... bhagwaan humein bura waqt isliye dikhaate hain taaki humein khushiyon ka mehetwa pata chal sake.... aur waise bhi, agar jeevan mein gum nahin dekhne milte, to pata kaise chalta ki aansu namkeen hote hain????...

aate hain aapke sawaalon par....

1. Nahin di.... jo lamhein beet chuke, wo yaadon mein rahe to hi achche lagte hain.... ateet ki dhundhli yaadein, kadwe vartamaan se kai guna behtar hotii hai... aur fir agar hum ateet mein hi jaate rahenge, to aaj ko kaise jiyenge???? apna aanewale kal ko kaise jiyenge????

2. SDC pe aakar kuch khone ki gunjaish hi nahin hoti.... na aapki achchaiyan aur na hi aapki khaamiyan... kyunki aap jaise ho, ye parivaar aapko usi roop mein sweekaar leta hai.... yahan bahut log hain, jinhein hum sirf ek naam se jaante hain ya sirf unki id se jaante hain... par fir bhi hum unse jude hue hain... kyunki unki nazm, unke sher humein unse jodte hain... ek si khushiyaan, ek se gum, ek se hum..... Aur paane ke liye bahut kuch hai.... dost.... guru (jo sach mein seekhna chahe... main thodi badtameez hun is maamle mein).... behen.... bhai.... yaani ek poora parivaar... maine bhi isi parivaar ko paaya hai.... dost mile... didi mili.... mujhe samajhne waale log mile..... bas aur kya chahiye????

3. didi.... sawaal no.2 ke jawaab ke baad bhi is sawaal ke jawaab ki zaroorat hai????

bas di??? itne se hi sawaal????
chaliye....
aapse fir baat hogi.....
apna khyal rakhiyega....
duaon ke saath
aapki
nisha

Go zaraa si baat par barsoN ke yaaraane gaye...
par itnaa to huaa, kuchh log pahchaane gaye...

Last edited by NISHA_VIRGO16; 6th August 2009 at 11:07 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#23)
NISHA_VIRGO16
raat ki tanhaii
NISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to behold
 
NISHA_VIRGO16's Avatar
 
Offline
Posts: 582
Join Date: Feb 2004
Location: kolkata
Rep Power: 30
7th August 2009, 10:18 AM

Quote:
Originally Posted by dilip200 View Post
dearest nisha......
yahan dekh kar accha lag raha hai, behad khushi ho rahi hai ki yahan tumhaara interview chal raha hai.... sabse jyada khushi mujhe is baat ko jankar huyii ki hamarii wo tukbandi ( offcouse tukbandi hii kahenge kyun ki shayri. na tum janti thin na main ) aaj bhii itnii gahraii se yaad hai....
shukriyaa ise yaad rakhne ke liye....

chalo ab ab kuch sawalat bhii kar leta hoon.

-1)) Dost bankar sare raah mil gaya suraj.
jara sii roshnii mangii to Dhal gaya Suraj.....

Is bare main aapka kya kahna hai......... aapki kya raai hai....

-2)) aapka kya manana hai ki acchi shayrii( jise hum dil se nikalii huyii aawaz kahte hain) ke liye shayar ki jindgii main ya to bahut jyada gam ya bahut jyada khushii ka hona jaroorii hai............

bus itna hii........ aapki Taang main jyda nahi kheechunga......

ishwar aapko sada khush rakhe......

aapka dost
Dilip

dilip jee....
us tukbandi ko bhoolne ka to sawaal hi nahin uthta.... usi tukbandi se to meri aapse aur sunita di se baat honi shuru hui thi..... shukriya mujhe aapse kehna chahiye.... mujhe wo lamhein dene ke liye.....

chaliye... aapke sawaalon ki taraf rukh modte hain....

1. Dost bankar sare raah mil gaya suraj.
jara sii roshnii mangii to Dhal gaya Suraj.....

Dhalna sooraj ka yaad raha, bin maange di roshni use bhool gae..
Uski bewafai saari yaad rahi, apne sitam saare bhool gae....

Ye maana ki aksar humein ye mehsoos hota hai ki jinpar humne dost samajhkar sabse zyada bharosa kiya hai, waqt padne pe wohi aapko sabse zyada takleef dekar jaata hai.... par hum kabhi ye nahin sochte ki shayad hamari expectations us insaan se kuch zyada hi hai.... kya ye saamne waale pe sitam nahin hai???? insaan kisi par bharosa tabhi karta hai jab koi uska vishwas jeet leta hai.... to fir achanak aisa kya ho jaata hai ki humein lagta hai ki hamara bharosa kisi ne tod diya???? ye saari kaarastaani hamare expectations ki hai..... insaan dukh nahin dete, insaano se wabasta ummeedein dukh deti hain..... aur phir, jo shakhs aapki nazron se aapki zaroorat ko na samajh sake, usse kuch maang kar khud ko sharminda karke kya faeda???? ye kyun sochun ki usne mere liye kya kiya??? ye kyun nahin ki maine uske liye kya kar sakti hun..... jo sooraj aaj dhala hai kal phir aaega... bas aap apna wajood bikharne mat do..... takleef nahin hogi....

2. Ye zaroori to nahin ki achchi shayri ke liye dil mein bahut gum yaan bahut khushi ho.... par haan.... mera ye manna hai ki jis din mein bahut gum ho, uski shayri apne aap dilon ko chu jaegi..... kyunki har insaan ekdusre se (chahe wo use jaanta ho yaan nahin) kisi aur rishte se juda ho yaan nahin ghum ke rishte se zaroor juda hota hai.....

duaon ke liye bahut bahut bahut shukriya.....
khush rahiye...
aur apna khyal rakhiyega...

aapki dost
nisha

Go zaraa si baat par barsoN ke yaaraane gaye...
par itnaa to huaa, kuchh log pahchaane gaye...
   
Reply With Quote
Old
  (#24)
kwahish
An Incomplite Dream
kwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud of
 
kwahish's Avatar
 
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
9th August 2009, 06:06 PM

Nisha Jii AadaaB..........

Aapke jawab padhker wakai sawal karne wale mutmayin hua hoge.......
jaisa ke aap future batane ka kary karti hai jaanker ek hairaani hui magar mere sawal mein ek sawal is per bhi add ho gaya........ aur ek khushi bhi hui ke zindagii mein kisi jyotish se baat nahi kii thi so aaj ho gayii

chaliye main kuch bhi kehta rehta huN sab jan gaye hai mujhe.... KahiN aapko bura na lag jaye isliye sawaloN per aata huN......

Jaia ke aapne bataya ke aap khud ka future nahi dekhati to is per hi yeH sawal hai ..........
1) Aapke dil mein koi shubha ( shak ) rehta hai kya jab aap apne kisi client ko uska future sonpti hai.....? (...Aap apne peshe per kitna belive karti hai...)

Jaisa main aapko samjha huN ke aapne Zindagii mein bahut thokareN khayi hai apno se gairoN se aur kisi auroN se......

2) Kya Aapko zindagii mein kisise gila raha hai aur raha hai to kis rishte per raha hai?

Nisha jii mera last questioN hai......... Dosti per..
3) Aap aapke dostoN se kya ummid rakhati hai ?

Mujhe English nahi aati isliye main answer's bhi hindi mein hi chahunga....
Agar koi question aapko nagawar guzare to bejhijhak aap uska jawab naa deN mujhe koi problem nahi..........

Khush rahiye...
Khuda Hafez....

  Send a message via Yahoo to kwahish  
Reply With Quote
Old
  (#25)
NISHA_VIRGO16
raat ki tanhaii
NISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to behold
 
NISHA_VIRGO16's Avatar
 
Offline
Posts: 582
Join Date: Feb 2004
Location: kolkata
Rep Power: 30
10th August 2009, 12:03 PM

sameer jee...
aadaab!!!

sabse pehle to aapko ye bata dun ki doston ki baaton ka bura nahin maana jaata.... to aap plzzzzz takalluf na kiya kijiye....

ab aate hain aapke sawaalon par.....

1) Mere clients apni zindagi ke har pehlu ko mere saamne is bharose se rakhte hain, ki main unki kuch madad kar paungi..... agar main khud pe, aur apne cards pe bharosa nahin kar sakti to unke bharose ko saakaar kaise kar sakti hun??? jab maine tarot reading shuru kiya tha us waqt maine kabhi ye nahin socha tha ki main ise professional level pe le jaungi..... kyunki tab tak main khud in saaari baaton pe yakeen nahin karti thi.... dheere dheere mera yakeen ispar badne laga.... aur ye bewajah nahin thi.... mere predictions sahi hote the.... mere sapne sach hone lag gae the... yahan tak ki maine ise beech mein cho.d bhi diya tha kyunki main darr gai thi.... uske baad maine ise professionally shuru kar diya.... aur yakeen maniye... us ek ghante mein, mere dimaag mein koi shanka, koi darr nahin hota.....

2) Gile shikwe to har rishte mein hote hain.... haan... agar khuda ne mujhe ek aur zindagi di, to tah-e-dil se unse ye guzaarish hogi ki us zindagi mein, mera koi bhai na ho, aur mujhe kabhi kisi se pyaar na ho...... bas.... uske baad shayad mujhe us zindagi se koi gila, koi shikwa nahin hoga....

3) Mere dost meri zindagi hai..... Bahut zyada ummeed nahin karti hun main unse.... bas itna ki wo mujhe zindagi ke har mod pe samjhein.... saath de na de ye zaruri nahin.... par haan.... mujhpe hamesha bharosa rakhein.... aur haan.... ek compulsory shart.... mujhe dherrrrrrrrrrrrr saara pyaar karein!!!!

lijiye.... aapke sawaalon ke bhi jawaab poore ho gae....
ummeed hai aapko niraash nahin kiya hoga....

dher saari duaon k saath...
aapki dost
nisha

Go zaraa si baat par barsoN ke yaaraane gaye...
par itnaa to huaa, kuchh log pahchaane gaye...
   
Reply With Quote
Old
  (#26)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
10th August 2009, 01:49 PM

Quote:
Originally Posted by NISHA_VIRGO16 View Post
chaliye aapke sawaalon pe aate hain...

1) Is maamle mein mujhmein zara bhi patience nahin hai.... jo mere apne hain, unse main kabhi tang nahin hoti hun.... par koi ajnabi mujhe pareshaan kare to main bahut jaldi gussa ho jaati hun.... zyada se zyada 4-5 minute hi tolerate kar paati hun.... aur usse zyada hua tab to bechare ki khair nahin...
hmm.. zara bhii patience nahii.n hai aap me.n

jaise kii aap ne likhaa hai aap kpo bohat jaldi gussa aa jaata hai...... jab aap bohat gussa ho jaati hai.n tab kyaa kartii hai.n..

jawaab dene me.n aasaani ho, isiliye nichhe option bhii hai

1) ghar ke vertan toDphoD deti hai.n

2) apne baal noo.nch leti hai.n

3) gusse me.n apne kisii dost se milne chali jaati hai.n.

4) saara guusa jo saamne aaye us par utaar deti hai.n

5) kamre me.n ba.nd ho jaati hai.n aur takiye ko me.n mooh chhupa kar rone lagti hai.n...

6) YA munna bhaii ke dr. rastogi ka style yaani ki paagalo.n ki taarh ha.nsne lag jaati hai.n

duusra sawaal : ab bhii aap ko yeh sab paDh kar kaise lag raha hai

Quote:
2) Mera manna hai ki qismat ka likha koi nahin badal sakta.... par bhagwaan yuhin kisi ki kismat nahin likh dete.... wo insaan ko apni kismat khud chunne ka mauka dete hain...
hamari qismat ka faisla hamare karam karte hain... zindagi ke har mod par humein dorahe milte hain.... aur har raaste ka apna alag naseeb hota hai.... aur bhagwaan ye hamare haathon mein choRte hain ki humein kaun sa rasta chunna hai.... sahi raah chuni to mukaddar khud humein sikandar ka taaj pehna deti hai aur agar galat raah chun li to yahi aapko apne pairon tale raundkar rakh deti hai.....
Insaan ki fitrat hoti hai ki wo kabhi bhi apni galti ka bhaar khud nahin uthata.... aur khud ko khush karne ke liye wo saara dosh naseeb pe saump deta hai... main bhi ek insaan hi to hun... isliye jhoot nahin kahungi, par aksar main bhi naseeb ko hi doshi thehraati hun... kyunki khud ki galtiyon ko sweekaarna kabhi kabhi mushkil ho jaata hai..... par haan.... mujhe koi shikwe shikayatein nahin hain... na naseeb se na apne bhagwaan se.... na jaane kyun??? par dil ko ye sukoon hamesha rehta hai ki jo bhi ho raha hai kuch na kuch achche ke liye hi ho raha hai.....
aap ka jawaab kuchh optimistic sa lagaa, khair! bhagwaan agar aap ko khud apni qismat likhane ka mauqa deta to aap apne qismat me.n wohii sab likhti jo aap ne paaya hai, agar nahii.n to , aap kyaa likhti?

filhaal itne sawaal kaafi hai.n... aap ke jawaab ke liye peshgii me.n aap ka tah-e-dil se shukriyah!

mayank

Last edited by Mayank; 10th August 2009 at 03:07 PM..
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#27)
mann_chand
Registered User
mann_chand has much to be proud ofmann_chand has much to be proud ofmann_chand has much to be proud ofmann_chand has much to be proud ofmann_chand has much to be proud ofmann_chand has much to be proud ofmann_chand has much to be proud ofmann_chand has much to be proud of
 
mann_chand's Avatar
 
Offline
Posts: 1,089
Join Date: Jun 2004
Location: Toronto,Canada
Rep Power: 31
10th August 2009, 10:33 PM

Nisha jee,

Kaise hain aap? I hope u r enjoying interview session as we all are enjoying it
Nisha jii hum dono alomost same year mein aaye they(like u came in feb n me in june ) hayeraat ki baat hai kabhie mulakaat nahi hue...
Zainy jee ka fir se shukriya .. ek aur dost ko jaan ne ka mauka mila ..
Shayad interview ka intezaar tha..khushi hue aapko yahan dekte hue aur koshish karugii aapko sawalon se zada pareshaan nahi karugii

Im very much glad to hear abt ur profession ..honestly mujhe bhi horoscope aur astrology ki books padhne ka bahut shaouk hai aur aacha lagta hai kabhie profession ke baare mein toh nahi soocha lekin "Tarot Reading" sounds interesting. I do agree es mein God ki blessing hoti hain

Ab mere thode se sawal

1) Kabhie esa hua hai ki aapke client bahut dukhii ho aur jab aapne uska future dekha hai kuch esa ho jo aap bata nahi sakti (if its so bad) toh aap kya kartii.(agar nahi hua ..suppose esa ho toh).I mean how wud u react and handle it?

2) Kya aap aapne profession ko international level tak lena chahengii?kya karengii?

3) aapko aapne mein kya aacha lagta hai?

4) aapko aapne mein kya bura lagta hai?

I hope mere sawalon ne aapko parehsaan nahi kiya hoga. agar aap kise sawal ka jawab nahi dena chahati hain no problem!

Take care

aapki dost

mandeep

~ Mandeep Kaur ~
   
Reply With Quote
Old
  (#28)
NISHA_VIRGO16
raat ki tanhaii
NISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to behold
 
NISHA_VIRGO16's Avatar
 
Offline
Posts: 582
Join Date: Feb 2004
Location: kolkata
Rep Power: 30
11th August 2009, 12:10 PM

Quote:
Originally Posted by Mayank View Post

hmm.. zara bhii patience nahii.n hai aap me.n

jaise kii aap ne likhaa hai aap kpo bohat jaldi gussa aa jaata hai...... jab aap bohat gussa ho jaati hai.n tab kyaa kartii hai.n..

jawaab dene me.n aasaani ho, isiliye nichhe option bhii hai

1) ghar ke vertan toDphoD deti hai.n

2) apne baal noo.nch leti hai.n

3) gusse me.n apne kisii dost se milne chali jaati hai.n.

4) saara guusa jo saamne aaye us par utaar deti hai.n

5) kamre me.n ba.nd ho jaati hai.n aur takiye ko me.n mooh chhupa kar rone lagti hai.n...

6) YA munna bhaii ke dr. rastogi ka style yaani ki paagalo.n ki taarh ha.nsne lag jaati hai.n

duusra sawaal : ab bhii aap ko yeh sab paDh kar kaise lag raha hai

aap ka jawaab kuchh optimistic sa lagaa, khair! bhagwaan agar aap ko khud apni qismat likhane ka mauqa deta to aap apne qismat me.n wohii sab likhti jo aap ne paaya hai, agar nahii.n to , aap kyaa likhti?

filhaal itne sawaal kaafi hai.n... aap ke jawaab ke liye peshgii me.n aap ka tah-e-dil se shukriyah!

mayank

mayank jee aadaab!!!!

ek buri khabar hai..... aapke diye gae options mein se ek bhi mere taste ka nahin hai....
in saare options mein to zyadatar nuksaan mera hi hai.... apna style to zara hatt ke hai..... jaisa ki maine kaha ki mujhe ajnabiyon ka pareshaan karna pasand nahin hai.... to main ek ya do baar samjhaane ke baad unka number ya fir koi bhi details jo mujhe pata ho, ya to apne male friends ko de deti hun ya bhi local police station mein complaint likhwa deti hun.... uske baad aapke diye hue options mere nahin unke kaam aate hain.... ab wo kya options choose karenge iske baare mein main kaise bataun????

jab aapka sawaal pad rahi thi tab sach dil kar raha tha apne baal noch lun.... par fir socha ki ganji achchi nahin lagungi... isiliye khyaaal badal diya.... jawaab dete waqt un logon ka chehra yaad aa gaya jinhone kabhi mujhe pareshaan karne ki sochi thi.... to bada maza aaya.....

agar bhagwaan mujhe apni kismat khud likhne ko dete, to obviously main ye sab nahin likhti jo abhi mere naseeb mein hai..... kyunki as i said hun to main insaan hi.... aur har kisi ki tarah mera bhi yahi swaarth rehta ki mujhe sirf aur sirf khushiyan miley.... koi ghum nahin.....
agar main apna naseeb khud likhti, to usmein beintehaan pyaar karne waala ek chota sa parivaar likhti.... dherrr saare aise dost likhti, jo kabhi dhokha na dein.... ek aisa pyaar likhti, jo jeevan ke aakhri saans tak mera saath deta.... wo gaana hai na??? "Aisa Koi Zindagi Mein Aaye, Jo Zindagi ko Zindagi Banaye.. Thode Aansoo Ho, Thodi Khushiyaan Ho, Aur Zara Zara Pe Muskurae..." bas kuch aisa hi....

haan ek baat aur.... main ab bhi yahi kahungi ki mujhe apni zindagi se koi gila shikwa nahin hai.... par haan!!!! mauka milta to ise behtar zaroor banati..... aur InshaAllah ek din zaroor banaungi.....

dherr saari duaon ke saath...
aapki dost
nisha

Go zaraa si baat par barsoN ke yaaraane gaye...
par itnaa to huaa, kuchh log pahchaane gaye...
   
Reply With Quote
Old
  (#29)
NISHA_VIRGO16
raat ki tanhaii
NISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to behold
 
NISHA_VIRGO16's Avatar
 
Offline
Posts: 582
Join Date: Feb 2004
Location: kolkata
Rep Power: 30
11th August 2009, 12:45 PM

Quote:
Originally Posted by mann_chand View Post
Nisha jee,

Kaise hain aap? I hope u r enjoying interview session as we all are enjoying it
Nisha jii hum dono alomost same year mein aaye they(like u came in feb n me in june ) hayeraat ki baat hai kabhie mulakaat nahi hue...
Zainy jee ka fir se shukriya .. ek aur dost ko jaan ne ka mauka mila ..
Shayad interview ka intezaar tha..khushi hue aapko yahan dekte hue aur koshish karugii aapko sawalon se zada pareshaan nahi karugii
mandeep jii..
aadaab!!!

Aapki dua se main to bilkul theek hun... aap apni sunaiye....
aapne durust farmaya ki ek lambe samay se is parivaar se judne ke baad bhi hamari kabhi mulakaat nahin hui.... par jaisa ki maine pehle bataya.... main kaafi dino tak site pe nahin aa pai thi.... shayad isi wajah se hum mil nahin pae... chaliye is interview ke bahane hi sahi.... ab mulakaat ho gai.... aur aap mujhe pareshaan karne ki chinta mat kijiye.... inhi sawaalon ke zariye hi kuch dost mujhe jaan paenge aur main kuch doston ke shayad aur kareeb aa jaun.... sahi kaha na????

Quote:
Originally Posted by mann_chand View Post
Im very much glad to hear abt ur profession ..honestly mujhe bhi horoscope aur astrology ki books padhne ka bahut shaouk hai aur aacha lagta hai kabhie profession ke baare mein toh nahi soocha lekin "Tarot Reading" sounds interesting. I do agree es mein God ki blessing hoti hain

jee bilkul sahi kaha aapne.... unki blessings ke bina kuch nahin hota.... aakhir likha hua to sab unhone hi hai.....

Quote:
Originally Posted by mann_chand View Post
Ab mere thode se sawal

1) Kabhie esa hua hai ki aapke client bahut dukhii ho aur jab aapne uska future dekha hai kuch esa ho jo aap bata nahi sakti (if its so bad) toh aap kya kartii.(agar nahi hua ..suppose esa ho toh).I mean how wud u react and handle it?

mandeep jii... aisa aksar hota hai ki clients mere paas apni pareshaani suljhaane ke liye aate hain aur majbooran main unki pareshaani kam karne ki bajae bada deti hun..... kyunki aksar insaan mere paas tab aate hain jab wo kisi negative daur se guzar rahein ho.... par iske bawajood mujhe unhein sach batana hi padta hai.... kyunki jab tak main unhein unki pareshaani ya ho sakne waali problems ke baare mein aagaah nahin karungi, wo unka saamna kaise karenge???? aur agar main unse kuch bhi chupaati hun, to phir wo to dhokha hua na??? haan.... agar koi bhi problem hai to uska ek solution bhi hota hai.... aur aksar ek mixed tarot-counselling session ke baad, mere clients apne ghar ko muskuraate hue hi rawaana hote hain......

Quote:
Originally Posted by mann_chand View Post
2) Kya aap aapne profession ko international level tak lena chahengii?kya karengii?

InshaAllah.....
par wo din filhaal bahut door hai.... abhi to main khud ko ek amateur hi samajhti hun.... padna jaari hai.... dekhte hain bhagwaan ji ne aage kya socha hai mere baare mein....

Quote:
Originally Posted by mann_chand View Post
3) aapko aapne mein kya aacha lagta hai?

Meri dosti.... shayad main galat ho sakti hun, par mera ye maanna hai ki main ek bahut bahut bahut achchi dost hun.... jab main college mein thi tab main daawa kiya karti thi, ki mujh jaisa dost koi ho hi nahin sakta....... bas ek yahi gumaan hai mujhe.....

Quote:
Originally Posted by mann_chand View Post
4) aapko aapne mein kya bura lagta hai?

Mere dil mein jo kuch bhi hota hai main use bol deti hun.... mujhse dil mein chor rakh kar chehre pe pyaar nahin rakha jaata... ye aadat aksar logon ko buri lagti hai kyunki main kadwa bhi utni hi aasaani se logon ko keh deti hun jitni aasaani se main shehad bhari baatein kahungi..... aur jab mujhe pata hota hai ki main sahi hun to main bilkul bhi nahin sochti ki main kiske saamne kya keh rahi hun....

Quote:
Originally Posted by mann_chand View Post
I hope mere sawalon ne aapko parehsaan nahi kiya hoga. agar aap kise sawal ka jawab nahi dena chahati hain no problem!

Take care

aapki dost

mandeep
arre... aapke sawaalon ka jawaab dene mein to bahut maza aaya.... pareshaani kaisi???? ummeed hai mere jawaab ne aapko niraash nahin kiya hoga..... dekh lijiye... saare sawaalon ka poori imaandaari se jawaab diya hai....

chaliye... filhaal ke liye aapse ijazat leti hun....
kuch aur bhi poochna ho to bandi haazir hai....

dher saari duaon ke saath
aapki dost

nisha

Go zaraa si baat par barsoN ke yaaraane gaye...
par itnaa to huaa, kuchh log pahchaane gaye...
   
Reply With Quote
Old
  (#30)
Ek Ehsaas
Couldn't Care Less
Ek Ehsaas has much to be proud ofEk Ehsaas has much to be proud ofEk Ehsaas has much to be proud ofEk Ehsaas has much to be proud ofEk Ehsaas has much to be proud ofEk Ehsaas has much to be proud ofEk Ehsaas has much to be proud ofEk Ehsaas has much to be proud of
 
Ek Ehsaas's Avatar
 
Offline
Posts: 2,652
Join Date: Mar 2007
Location: Delhi
Rep Power: 30
11th August 2009, 03:57 PM

Quote:
Originally Posted by NISHA_VIRGO16 View Post
Widhani jii....
Maine wo episode dekha tha.... and trust me.... mujhe kisi bhi sawaal ko ignore karne ki zaroorat nahin hai.... and i promise i'll be honest....

1. No... i havent shared any of my clients problems with any of my friends or relatives or anybody else.... ye tarot cards ke rules ke against hai... aur waise bhi.... aajkal ki duniya mein logon ko aksar apni problems se fursat nahin milti, wo logon ki life ki problems jaan kar kya karenge????

2. No.. i am into tarot cards coz i love doing it... not because i wanna make money out of it.... i charge my clients so that i can do justice to their session... if i charge them, i know i have to be my best to give them their money's worth.... moreover i beleive in my cards the way i beleive in god... to yahan cheat karne ka to sawaal hi nahin hota....

3. i have tried my cards on my friends and family members.... but never on myself.... i'm too scared to face the future....

wish we could have a lie detector here.... aapke paas fir shak ki wajah nahin hoti...... par filhaal mere waade se hi kaam chala lijiye....

aapna khyal rakhiyega...
aapki dost
nisha
Ji main toh kaam chala lunga but aap lucky hain aap show mein nahin gayi.n.... Pehle question pe hi Nikaal dete.... Kanjoos log hain. Kisi ko paise nahin dete. sachh bole toh bhi

Who Cares.....
  Send a message via Yahoo to Ek Ehsaas  
Reply With Quote
Old
  (#31)
NISHA_VIRGO16
raat ki tanhaii
NISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to behold
 
NISHA_VIRGO16's Avatar
 
Offline
Posts: 582
Join Date: Feb 2004
Location: kolkata
Rep Power: 30
11th August 2009, 04:04 PM

Quote:
Originally Posted by Widhani View Post
Ji main toh kaam chala lunga but aap lucky hain aap show mein nahin gayi.n.... Pehle question pe hi Nikaal dete.... Kanjoos log hain. Kisi ko paise nahin dete. sachh bole toh bhi

arre bubba....
think positive!!!!

paise na bhi dein... fokat ki publicity to mil hi jaegi na????
aur simple si baat hai.... laalach buri bala...
1laakh leke nikal jaana chahiye....
ab isi ka bollywood version kabhi dekha hai??? "The Moment Of Truth"??
pehle hi level pe log paise leke nikal jaate hain...
kyun???
kyunki wo akalmand hain......
aur ye saare kyun nahin paise le ja paae????
ab aap khud hi samajhdaar ho..... samajh lo....
waise local public bhi invited hai.... aap chaho to try kar sakte ho....

Go zaraa si baat par barsoN ke yaaraane gaye...
par itnaa to huaa, kuchh log pahchaane gaye...
   
Reply With Quote
Old
  (#32)
Ek Ehsaas
Couldn't Care Less
Ek Ehsaas has much to be proud ofEk Ehsaas has much to be proud ofEk Ehsaas has much to be proud ofEk Ehsaas has much to be proud ofEk Ehsaas has much to be proud ofEk Ehsaas has much to be proud ofEk Ehsaas has much to be proud ofEk Ehsaas has much to be proud of
 
Ek Ehsaas's Avatar
 
Offline
Posts: 2,652
Join Date: Mar 2007
Location: Delhi
Rep Power: 30
11th August 2009, 04:10 PM

"Hollywood version"

Waise maine apni biwi ko bola hi hai ki agar mujhe mauka mila toh 1 crore leke hi aaunga.. Sab jhooth jhooth confess kar lunga. Paise bhi mil jaayenge aur kisi C grade reality show mein grey charachter bhi.... woh bura nahin maanegi... he he he he

Who Cares.....
  Send a message via Yahoo to Ek Ehsaas  
Reply With Quote
Old
  (#33)
NISHA_VIRGO16
raat ki tanhaii
NISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to behold
 
NISHA_VIRGO16's Avatar
 
Offline
Posts: 582
Join Date: Feb 2004
Location: kolkata
Rep Power: 30
15th August 2009, 11:44 AM

Quote:
Originally Posted by Widhani View Post
"Hollywood version"

Waise maine apni biwi ko bola hi hai ki agar mujhe mauka mila toh 1 crore leke hi aaunga.. Sab jhooth jhooth confess kar lunga. Paise bhi mil jaayenge aur kisi C grade reality show mein grey charachter bhi.... woh bura nahin maanegi... he he he he

chaliye....
all the best....

Go zaraa si baat par barsoN ke yaaraane gaye...
par itnaa to huaa, kuchh log pahchaane gaye...
   
Reply With Quote
Old
  (#34)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
19th August 2009, 10:48 PM

aadaab mohtarma

sawaal meri jaanib se aapke liye yeh haiN :

aapke nazariiye se urdu sha'iirii ka aaj-kal kya maqaam hai ? kya yeh aaj-kal ki peeRhii is muqaddass fann ki ehmiyat mehsuus karti hai ya yeh sirf "sms" karne jaise "GhaTiyaa" entertainment ki Ghulaam ban kar reh gayi hai ?

mujhe aapke vichaar jaan kar khushii hogi

rab raakha
maikash

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#35)
Aman_rahi
Paigaam-e-Aman
Aman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really nice
 
Aman_rahi's Avatar
 
Offline
Posts: 2,689
Join Date: Oct 2004
Location: Patiala, Punjab, India. Now:Pune, India
Rep Power: 26
23rd August 2009, 07:43 AM

Nisha Ji... Adaab, Namaskar, Sat Sri Akal....

Aapke interview se pata laga ki aap SDC pe kaafi kam aayin hain...isi kaaran shayad....ye nazar aapki posts pe nahi padi...maufi chahoonga....Kaafi kuch jaan_ne ko mila....

Khush rahiye....

Rabb Raakha..........

**(*·.¸(`·.¸ ¸.·´)¸.·*)**
*·.¸Paigaam -e- Aman¸.·*
**(¸.·´(¸.·* *·.¸)`·.¸)**

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
inhan ankhaaon vicho kadi, tere hanju vaghe si.....
aaj ki hoye, jehda ^AMAN^ da lahoo vagda ae......

AMAN RAHI
  Send a message via Yahoo to Aman_rahi  
Reply With Quote
Old
  (#36)
NISHA_VIRGO16
raat ki tanhaii
NISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to behold
 
NISHA_VIRGO16's Avatar
 
Offline
Posts: 582
Join Date: Feb 2004
Location: kolkata
Rep Power: 30
24th August 2009, 12:35 AM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
aadaab mohtarma

sawaal meri jaanib se aapke liye yeh haiN :

aapke nazariiye se urdu sha'iirii ka aaj-kal kya maqaam hai ? kya yeh aaj-kal ki peeRhii is muqaddass fann ki ehmiyat mehsuus karti hai ya yeh sirf "sms" karne jaise "GhaTiyaa" entertainment ki Ghulaam ban kar reh gayi hai ?

mujhe aapke vichaar jaan kar khushii hogi

rab raakha
maikash

maikash jee aadaab!!!

ye baat kuch hadd tak sahii hai ki aaj ki generation mein sha'iirii zyada tar sms ke roop mein hi dikhti hai.... aksar kaafi tutti futti bhi..... par main nahin samjahti ki hum ise ghatiya entertainment ka naam de sakte hain... is generation mein kai log, is fan se sirf sms ke zariye hi jude hue hain.... udhaaran ke taur pe:- is baat se aap bhi sehmat honge ki kai log hain jinhone marhoom faraz sahab ka naam tak nahin suna hoga.... ya fir nida fazli jee ka... ya aise kai mashoor shayar aur.... main khud in naamon se waakif nahi thi... par haan sdc pe aakar ye pata chala ki bhale hi main in tamaam shayaro.n se waakif nahin thi par inke likhe hue aashaar maine pade hue hain.... aur yakeen maaniye ye sms ki hi wajah se thi....

aur rahi baat ki is generation mein urdu sha'iirii ka maqaam kahan hai??? uska jawaab to aapko yahin sdc mein mil jaega.... aap ho, mayank jee hain, diya jee, pari di, sunita di, lucky jee.... sab isi generation ko belong karte hain.... aur mujhe kehne ki zaroorat nahin hai ki ye sab apni likhai mein kitne achche hain....

all and all... is duniya mein har tarah ki vichaar dharaon ke log hain.... kuch k dilo.n mein pankaj udaas aur salma aagah base hain to kuch ke dilo.n mein michael jackson aur jennifer lopez....
par urdu sha'irii, apni jagah apne chahne waalon ke dil mein khoj hi leti hai... fir wo sms ke zariye ho yaan fir internet sites k zariye ya koi aur rastaa....

[mujhe lag raha hai thodi khichdi ban gai hai... but i hope aap samajh gae honge ki main kya kehna chaahti hun...
inteview pe aane ke liye, apna samay dene ke liye aur sawaal karne ke liye shukriya.... aaj se pehle main shayad khud nahin jaanti thi ki main is baare mein kya sochti hun....]

apna khyaal rakhiyega....
khush rahiyega...
duaon ke saath...
aapki dost
nisha

Go zaraa si baat par barsoN ke yaaraane gaye...
par itnaa to huaa, kuchh log pahchaane gaye...
   
Reply With Quote
Old
  (#37)
janumanu
Banned
janumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 2,586
Join Date: Jun 2008
Location: New Delhi
Rep Power: 0
24th August 2009, 04:42 AM

nisha ji namestay

mere pas sawaal to nahi lekin maien aapke jabaab aur sabke sawaal padhe hai

acha laga aapke bare main jann a

god bless u
  Send a message via Yahoo to janumanu  
Reply With Quote
Old
  (#38)
NISHA_VIRGO16
raat ki tanhaii
NISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to behold
 
NISHA_VIRGO16's Avatar
 
Offline
Posts: 582
Join Date: Feb 2004
Location: kolkata
Rep Power: 30
24th August 2009, 05:21 PM

Quote:
Originally Posted by Aman_rahi View Post
Nisha Ji... Adaab, Namaskar, Sat Sri Akal....

Aapke interview se pata laga ki aap SDC pe kaafi kam aayin hain...isi kaaran shayad....ye nazar aapki posts pe nahi padi...maufi chahoonga....Kaafi kuch jaan_ne ko mila....

Khush rahiye....

Rabb Raakha..........

Aman Ji...
aadaab!!!!

der se hi sahi, aapne waqt nikaal kar interview ko pada, uske liye main tah-e-dil se shukrguzaar hun....
InshaAllah... aane waale samay mein hum ek dusre ko aur behtar samajh sakenge....

duaon ke saath....
aapki dost
nisha

Go zaraa si baat par barsoN ke yaaraane gaye...
par itnaa to huaa, kuchh log pahchaane gaye...
   
Reply With Quote
Old
  (#39)
NISHA_VIRGO16
raat ki tanhaii
NISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to beholdNISHA_VIRGO16 is a splendid one to behold
 
NISHA_VIRGO16's Avatar
 
Offline
Posts: 582
Join Date: Feb 2004
Location: kolkata
Rep Power: 30
24th August 2009, 05:28 PM

Quote:
Originally Posted by janumanu View Post
nisha ji namestay

mere pas sawaal to nahi lekin maien aapke jabaab aur sabke sawaal padhe hai

acha laga aapke bare main jann a

god bless u

janumanu ji...
aadaab!!!!

apne keemti waqt mein se samay nikaalkar interview ko padne aur reply karne ke liye tah-e-dil se shukriya....
Ummeed karti hun ki ek din yahi jaan pehchaan dosti mein badal jaegi...
tab tak ke liye...
apna khayaal rakhiyega...
khush rahiye...

aapki dost
nisha

Go zaraa si baat par barsoN ke yaaraane gaye...
par itnaa to huaa, kuchh log pahchaane gaye...
   
Reply With Quote
Old
  (#40)
Ek Ehsaas
Couldn't Care Less
Ek Ehsaas has much to be proud ofEk Ehsaas has much to be proud ofEk Ehsaas has much to be proud ofEk Ehsaas has much to be proud ofEk Ehsaas has much to be proud ofEk Ehsaas has much to be proud ofEk Ehsaas has much to be proud ofEk Ehsaas has much to be proud of
 
Ek Ehsaas's Avatar
 
Offline
Posts: 2,652
Join Date: Mar 2007
Location: Delhi
Rep Power: 30
26th August 2009, 09:20 PM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
kya yeh aaj-kal ki peeRhii is muqaddass fann ki ehmiyat mehsuus karti hai ya yeh sirf "sms" karne jaise "GhaTiyaa" entertainment ki Ghulaam ban kar reh gayi hai ?

rab raakha
maikash
Maaf kijiyega Maikash Ji.. Ye sawaal Nisha Ji ke l;iye tha aur mujhe dakhal dene ka koi haq nahin but fir bhi reply karne ki gustakhi kar raha hu kyuni kujhe aapke alfaaz thode kathor lage...

aapne SMS ko ghatiyaa entertainment kaha isliye raha nahin gaya..

Jio us peedhi mein har insaan shayar nahin tha... Karodo.n mein ek hi "Gaalib" ho paata hai.... Aaj shayaro.n aur tukbandi karne walo.n ratio dekhein toh pehle se badtar na hoga..

Aur ho bhi toh umda shayri aur dil se kiye hue SMS mein Ek cheez common hai.. Ehsaas.. Har insaan apni feeling tukbandi karke nahin keh sakta aur SMS ke madhyam se apni baat kehta hai.... SMS bachoon ka hansate bhi hain aur khushi bhi dete hain.. Aur jo cheez kisi ko muskurahat de (pal bhar hi sahi) woh umda ho na ho, ghatiya nahin ho sakti...

Kuchh zyada keh diya ho toh maaf kijiyega..... Thoda emotional ho gaya tha.....

Who Cares.....
  Send a message via Yahoo to Ek Ehsaas  
Reply With Quote
Reply

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com