Quote:
Originally Posted by Rutu
Mai agar hindu hoon , to
Tu musalmaan kyun hai?
Mai agar pooja karti hoon , to
Tu namaz padhta kyun hai?
Agar sabka malik ek hai , to
Allah aur bhagvan mein pharak kyun hai?
Agar mandir aur masjid dono hi mitti se bane hai , to
Inhe alag-alag stano mein basaya kyun hai?
Agar hum dono ke sine mein dhadakta dil hai , to
Hamari alag pahechaan kyun hai?
Agar hum dono ki maa ek hai , to
Hamare abba-jaani alag kyun hai??????????
|
Rutu ji , dhoonda bahut magar alfaz sach mein nahi mile taarif karne aapke vicharon ki....bas dil kehta hai wah wah kya khoob kaji kya khoob kahi