Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
...sanam ki jurrat na thi
Old
  (#1)
dil_e_sikast
Nacheej shayra
dil_e_sikast will become famous soon enoughdil_e_sikast will become famous soon enough
 
dil_e_sikast's Avatar
 
Offline
Posts: 557
Join Date: Sep 2002
Location: india(gujarat)
Rep Power: 23
...sanam ki jurrat na thi - 2nd June 2003, 10:54 PM

tere milne ke baad, kisi ko pane ki chahat na thi
tuje khone se pehle, itni darawni kayamat na thi
kabhi wajood tha hamara jinki mohabbat ke liye
aaj unse milne par, dil me wo mohabbat na thi

isme kasoor mera nahi, khata tune bhi nahi ki
sayad khuda ko manjoor ye "ibaadat" na thi
ki chahte rahe sirf ek dusre ke wajood ko
aur kisi "aur" ke wajood ki hame jaoorat na thi

khamosiyo ne pukara tha,sannato ka sahara tha
aur to hamare bich kabhi koi sikayat na thi
sirf tuje paya tha sanam ne sari jindagi gavaN kar
sayad itna kuch pa lene ki sanam ki "jurrat" na thi
***********************************************
hamdard dosto, aapse ek iltija hai...kabhi kabhi muje lagta hai ki kuchh dost sirf formality ke liye ya to is liye qki mene unhe reply kiya tha -- muje reply karte hai. to pls aisa na kijiye....agar aapko dil se lage ki "u should" tabhi reply kijiyeaga warna nahi...sukriya
*************************************************
SANAM


taqdeer ne kya kam sataya hua tha
jo ab ye bewaqt hi tuje satane aa gaye
logo ne nahi dekha apne girebaan main
aur dekho 'sanam' ko aajmane aa gaye
-> SaNaM
   
Reply With Quote
dil_e_sikast
Old
  (#2)
Nida Siidiqui
Registered User
Nida Siidiqui will become famous soon enough
 
Nida Siidiqui's Avatar
 
Offline
Posts: 301
Join Date: May 2003
Location: i live in a love circle where is only 1 way where ppl can come but cant go
Rep Power: 21
dil_e_sikast - 3rd June 2003, 11:18 AM

Dear dil_e_sikast Saab,

behaad hee khoob likhaa hai aap naay meraay pass alfaaz nahee ke mein aap ki tareef kar sakoon ...................

lekin is baat kie humein behaad khushi hai ke aap kie is post ka reply sab say peehlaay hum nay diyaa hai ................

waisaay mein soch rahee thee isee hawelaay saay joe topic aap nay chedaah hai ....

Wajood ................

kiya pyar mein apnaay wajood ka honaay zarorie hota hai ?

kiun kehaa jataa hai agr kohiee aap say sachaa pyar kareey toe woe bas aap hee say kareega woe kabhiee bhee aap ko badalnaay kie koshish nahee karegaa ................................phir kiun insaan har waqt apnaay aap say samjotaa kartaa hai ?

please is ka jawaab zaroord de geyegaa


Nida


(To love and be loved is the greatest happiness of existence.)
 Send a message via ICQ to Nida Siidiqui Send a message via Yahoo to Nida Siidiqui Send a message via AIM to Nida Siidiqui  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 26
3rd June 2003, 12:40 PM

isme kasoor mera nahi, khata tune bhi nahi ki
sayad khuda ko manjoor ye "ibaadat" na thi

sirf tuje paya tha sanam ne sari jindagi gavaN kar
sayad itna kuch pa lene ki sanam ki "jurrat" na thi


-Sanam sahiba, apka ye kalaam behad pasand aaya humein.. aur ye baat hum dil se keh rahe hain.. I mean it..

Ye ek bohat hi 'subtle' (Maaf ki jiyega, urdu me kya kehna chahiye, samajh nahi aa raha tha ) ghazal hai.. Har lafz ahista se asar karta hai.. Isme dard bhara junoon ya josh nahi, ek chup si fariyaad, khamosh sa afsos hai.. jaise koi adhere me, kone me baitha sisak raha ho..

behad pasand aaya aapka ye andaaz.. likhne ka shukria!


Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
3rd June 2003, 05:10 PM

Sanam ji,

Jab maine aapki ye nazm padi to main sochne laga ke iska reply dena chahiye ya nahin..to jaanti ho mere dil ne kya kaha,usne kaha 'U SHOULD' & hence this reply..

"isme kasoor mera nahi, khata tune bhi nahi ki
sayad khuda ko manjoor ye "ibaadat" na thi
ki chahte rahe sirf ek dusre ke wajood ko
aur kisi "aur" ke wajood ki hame jaoorat na thi"

Waise aapki nazm ke saath saath nida ji ka sawaal bhi bahut dilchasp hai..Umeed hai ke aapke paas uska koi jawaab hoga jo Nida ji ne poocha hai , hum bhi aapke reply ka wait karenge..

Urs..
Varinder


kyon zindagi ki raah mein akele chalta hai dost
chal waha chal jahan tere jaise aur bhi hai...
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
3rd June 2003, 06:02 PM

Sanam Ji ..
Yahan aap dil todne wali baat kar rahi hain ..
Aapke kahne ka matlab kya hai yahan pe , Aapko maloom ye dil us jagah ja hi nahi sakta jis jagah ise achha na lage so jhooti tareef karne ka to saval hi nahi uthta .....
aapne to sochne pe majboor kar diya hume ab hum aapki tareef me kya likhe

khamosiyo ne pukara tha,sannato ka sahara tha
aur to hamare bich kabhi koi sikayat na thi
sirf tuje paya tha sanam ne sari jindagi gavaN kar
sayad itna kuch pa lene ki sanam ki "jurrat" na thi

bavjood iske ...... upar likhi gayi lines dil ko choo lene wali hain
ab aap bataiye agar achhi cheej ke liye tareef nikalti hai to kya ye galat hai ..


andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
paplupopat
Registered User
paplupopat will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 269
Join Date: Jan 2003
Location: india.
Rep Power: 22
3rd June 2003, 07:21 PM

Quote:
kabhi wajood tha hamara jinki mohabbat ke liye
Quote:
aaj unse milne par, dil me wo mohabbat na thi
Hi Sanam,

paplu khush hua.
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
Zeba
Registered User
Zeba has a spectacular aura aboutZeba has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 585
Join Date: Jan 2003
Rep Power: 23
3rd June 2003, 08:08 PM

wah wah,




tere milne ke baad, kisi ko pane ki chahat na thi
tuje khone se pehle, itni darawni kayamat na thi
kabhi wajood tha hamara jinki mohabbat ke liye
aaj unse milne par, dil me wo mohabbat na thi


zabardast lines hai.

zeba
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
dil_e_sikast
Nacheej shayra
dil_e_sikast will become famous soon enoughdil_e_sikast will become famous soon enough
 
dil_e_sikast's Avatar
 
Offline
Posts: 557
Join Date: Sep 2002
Location: india(gujarat)
Rep Power: 23
3rd June 2003, 09:29 PM

salam Nidaji
pehle to me aapse kehna chahungi ki me Saab nahi hu
aur dusre sukriya aapki taareefo ke liye ....
aur tisre,.....aapka sawal? aapne to kashma kash me dal diya hai....itna muskil sawal puchh liya?

Nidaji, jindagi gujar jati hai magar aisa sawalo ke jawab nahi mil pate...magar han.. jo kuchh dekha hai aur jo kuchh ehsas kiya hai us par se sochti hu ki insaan ka wajood hona jaroori hai.... han, jaroori hai, qki insan apne hone ka ehsas dusro ko tabhi dilwa sakta hai jab uska khud ka apna wajood ho. kisi ko chahna matlab use pana hi nahi hota... magar usko ye ehsas dilana bhi hota hai ki wo apne wajood se uske wajood ko kabhi alag nahi karega....jindagi bhar apne wajood ko usike wajood se duniya ke samne layega.

Han......, koi aapse sachi mohabbat kare to wo aapko kahbi bhi badalne ki kosish nahi karega....aur jo aapke wajood badal ne ki kosish kare wo sachchi mohabbat nahi hogi.Sayad aapne suna hoga ki....
"I don't love u because who u r but i love u because who i m with u".

Aur jaha tak baat hai samjote ki....to maine kabhi kisi se samjota nahi kiya qki samjota hi hai jo aapke wajood ko aapse chhinta hai, samjota hi hai jo aapko apni duniya se alag karta hai, samjota hi hai jo samne wale ki najar me aapke wajood ko kamjor banata hai....aur agar wo aapse sachchi mohabbat karta hai to aapko samjota kabhi karne nahi dega.

sayad bahot jiyada ho gaya....waise is nacheej ki itni aukat nahi ki aapke itne sanjida sawal ka sahi jawab de paye....
kabhi diljalo ki mehfil hogi to aapse ham bhi jaroor milenge aur is sawal ko mehfil me rakhenge... ho sakta hai koi sahi jawab de paye...
filhal ijajat chahti hu
allah hafiz
sanam


taqdeer ne kya kam sataya hua tha
jo ab ye bewaqt hi tuje satane aa gaye
logo ne nahi dekha apne girebaan main
aur dekho 'sanam' ko aajmane aa gaye
-> SaNaM
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
dil_e_sikast
Nacheej shayra
dil_e_sikast will become famous soon enoughdil_e_sikast will become famous soon enough
 
dil_e_sikast's Avatar
 
Offline
Posts: 557
Join Date: Sep 2002
Location: india(gujarat)
Rep Power: 23
3rd June 2003, 09:32 PM

salam Afshanji
muje khusi hui ki aapne mera kalam padha
isse bhi jiyada khusi hui ki aapne use saraha
aur isse bhi jiyada khusi is baat ki hui ki aapne meri feelings bahot deeeply samji.. Aapka bahot bahot sukriya...dard samajne ke liye
take care...

#=#=#=#=#=#

dear virendraji,
bahot bahot sukriya aapke DIL ka jisne muje is kabil samja ki aap ek baar fir se meri hosla afjayee kare...

aur raha us dilchasp sawal ka to us par mene achchhi khasi takreer likh di hai. hope aap padh kar bore nahi hue honge..
thanks again
take care

#=#=#=#=#=#

Ohww Mr. Horizon
aap to bura maan gaye....hamne jo kaha tha wo aapke liye thode na kaha tha
bas un logo ke liye kaha tha jo reply karne ko ek "farz" samajkar follow karte hai... aur jabardasti tarif karti hai...beshak achhhi cheej ke liye tareef karna galat baat nahi...
fir bhi agar aapko dukh hua ho to tahe dil se muaafi mangti hu..
hope u will forget and forgive
ohwwww u forgot? thank u very much...
take care

#=#=#=#=#=#

Papluji
itna bhi khush na hona ki Mr. india ko rulane ke liye aan pade...
khair, jaha mehfil me aap muskil se dikhte hai waha hamare post par aapko dekh kar hame bhi behad khusi hui.....yakeen maniye..
thanks
take care

#=#=#=#=#=#

dear Zebaji
bahot bahot sukriya...aapki inayat ke liiye
take care

Love SANAM


taqdeer ne kya kam sataya hua tha
jo ab ye bewaqt hi tuje satane aa gaye
logo ne nahi dekha apne girebaan main
aur dekho 'sanam' ko aajmane aa gaye
-> SaNaM
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
naraz
dhalta hua suraj
naraz is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 43
Join Date: Nov 2002
Location: wats in the location. a human can not stay at a place. i am also changing my location day to day
Rep Power: 0
4th June 2003, 07:05 PM

Sanamji,
kaise hai aap? kya haal hai bhai, bahot kam kar diya shayri likhna aapne.waise aap ye soch rahi hongi ki itne dino ke baad me kaha se tapak pada. hahaha...actually pehle me time pass ke liye aata tha lekin ab dard baatne aaya hu. aur han, jindagi me pehli baar kuchh likh kar post kiya hai to navajish hogi agar aap ek najar dal de.
aur aapki post ke bare me kya kahu, muje to lag raha hai ki aap ka dard pehle se kam hone ke bajaye jiyada ho gaya. hanji han, hota hai. Magar aapne bahot khubsurat andaj me apne dil ki baat baya kari hai. aapke fan to ham pehle se hi the magar ab to bas puchhiye mat.
ab ijajat chahta hu...aur suniye mohtarma, aapke PM aur mail box full hai. jara hamare liye thodi jagah bana kar rakhiyega.
dua kijiyega.
aaquib


aaquib
Tum nahi pass,koi pass nahi
Ab muje jindagi ki koi aas nahi
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
piya
SENSITIVE GIRL
piya is on a distinguished road
 
piya's Avatar
 
Offline
Posts: 46
Join Date: Jun 2003
Location: india
Rep Power: 0
5th June 2003, 12:19 AM

vaah vaah sanam ji ....
aapki najm padhi bahot hi achhi lagi ....i m total agree with ur answer which is asked by nida .......bcz u said that .jaruri to nahi ke jise pyar kare use pa le hum........i hope aap ese hi nayi nayi najm likhti rahengi.....aur hum padhate rahenge.....
  Send a message via Yahoo to piya Send a message via AIM to piya  
Reply With Quote
Old
  (#12)
dil_e_sikast
Nacheej shayra
dil_e_sikast will become famous soon enoughdil_e_sikast will become famous soon enough
 
dil_e_sikast's Avatar
 
Offline
Posts: 557
Join Date: Sep 2002
Location: india(gujarat)
Rep Power: 23
5th June 2003, 11:05 PM

ohhhh aaquibji
itne dino ke baadddddd....kya baat hai? mehfil ki yaad aa gayee ki yaado me mehfil aa gayee? hamne to socha tha ki aapne shero shayri hi bandh kar di...par aaj achchha surprise de diya
waise, aap jindagi me "pheli" baar kuchh likha hai wo hai kiske liye. kahi aap bhi ishq vishq ke chakkar me to nahi aa gaye na?? chaliye, ek aur "bechara" sahi...hehe
aur kahiye,,,,aapne dua mangne ke liye to kah diya magar ye nahi bataya ki dua kis liye mangni hai. jaroor se batayega,
aur thanks for replying
sanam

======

dear Piyaji
bahot bahot sukriya is kalam ko padhne ke liye aur use sarahne ke liye
aur han, nidaji ke sawal ke jawab ke upar bhi apni rai batane ke liye sukriya...waise maine kosish ki thi ki unko apna jawab mil jaye lekin lagta hai wo abhi bhi ulji hui hia
khair, filhal bbye
take care and thanks again

SANAM


taqdeer ne kya kam sataya hua tha
jo ab ye bewaqt hi tuje satane aa gaye
logo ne nahi dekha apne girebaan main
aur dekho 'sanam' ko aajmane aa gaye
-> SaNaM
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
naraz
dhalta hua suraj
naraz is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 43
Join Date: Nov 2002
Location: wats in the location. a human can not stay at a place. i am also changing my location day to day
Rep Power: 0
6th June 2003, 08:31 PM

hi sanam
hanji suprise to de diiya. waise shayri.com ki yaad aayee na yaado me shayri.com aaya. sach to ye hai ki dono sath hi aaye.
aur aapne jis sawal ka jawab JAROOR se dene ke liye bola hai wo me aise to nahi de sakta. magar wada hai kabhi waqt aur kismat ne sath diya to aapko jaroor bataunga
aur fir muje ye kehne ki bhi jaroor nahi rahegi ki dua kijiyega kyuki uske baad aap khud hamare liye dua karna suru kar dengi
filhal sabba khair


aaquib
Tum nahi pass,koi pass nahi
Ab muje jindagi ki koi aas nahi
   
Reply With Quote
sanamji
Old
  (#14)
shayri12345
Registered User
shayri12345 is a jewel in the roughshayri12345 is a jewel in the roughshayri12345 is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 2,408
Join Date: Sep 2001
Location: New York
Rep Power: 27
sanamji - 6th June 2003, 10:11 PM

sanam ji sach kahu aapke har alfaaz me maine apni chabi si paayi hai aaj....i cant arculate what i felt asi read the words and now i feel like reading then again and again they got some intense deep feelings in it

tere milne ke baad, kisi ko pane ki chahat na thi
tuje khone se pehle, itni darawni kayamat na thi
kabhi wajood tha hamara jinki mohabbat ke liye
aaj unse milne par, dil me wo mohabbat na thi

isme kasoor mera nahi, khata tune bhi nahi ki
sayad khuda ko manjoor ye "ibaadat" na thi
ki chahte rahe sirf ek dusre ke wajood ko
aur kisi "aur" ke wajood ki hame jaoorat na thi

khamosiyo ne pukara tha,sannato ka sahara tha
aur to hamare bich kabhi koi sikayat na thi
sirf tuje paya tha sanam ne sari jindagi gavaN kar
sayad itna kuch pa lene ki sanam ki "jurrat" na thi
i luved evry line in this keep writing

luv
priya


Akhihaan milaake chan'na paavi na Judayi Vey .......

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Jisnu Lagey, ohi'yo jaane, Kaun Jaane peer parayi!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
dil_e_sikast
Nacheej shayra
dil_e_sikast will become famous soon enoughdil_e_sikast will become famous soon enough
 
dil_e_sikast's Avatar
 
Offline
Posts: 557
Join Date: Sep 2002
Location: india(gujarat)
Rep Power: 23
7th June 2003, 10:11 PM

aaquibji
aisi to kya baat hai jiske liye aap waqt aur kismat ka intajar kar rahe hai. me aapko ek baat kahu "waqt aur kismat" dono se muje bahot nafrat hai. qki waqt mere hatho se hamesha nikal jata hai aur kismat kabhi mera sath nahi deti. to agar aapka waqt aur kismat sath bhi de to mere waqt aur kismat ke bare me main to doubtful hu...khair, dekhte hai aap kab milte ho...
dua me yaad karenge
a'hafiz

PRiyaji
me ye man sakti hu ki aapko mere lafjo me apni chhabi dikhti hai qki tabhi aap meri feeling bahot jaldi samaj jati hai aur sayad me aapki...khair, bahot sukriya apna waqt muje dene ke liye

sanam


taqdeer ne kya kam sataya hua tha
jo ab ye bewaqt hi tuje satane aa gaye
logo ne nahi dekha apne girebaan main
aur dekho 'sanam' ko aajmane aa gaye
-> SaNaM
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Dill main na ho jurrat tu mohabbat nahi milti Diya_Jale Shayri-e-Mashahoor Shayar 12 28th October 2008 07:13 PM
Jurrat...Nida Fazli... Nirmohi Shayri-e-Mashahoor Shayar 3 2nd July 2007 01:42 PM
Dil mein na ho Jurrat to Mohabbat nahi milti DreamHealer Anjuman-e-Shayri 0 23rd January 2007 09:47 PM
dil me.n na ho jurrat anish_ekshayar Shayri-e-Mashahoor Shayar 2 30th March 2004 09:00 AM
Sanam AAmirjani Shayri-e-Ishq 1 10th November 2003 02:33 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com