kahan mumkin tha main dil se teri yadain mita daita -
30th July 2009, 11:37 PM
Dosto aaj qaafee vaqt ke baad is mehfiil me aana hua hai, ek khubsurat ghazal share karna chaahoonga jo mujhe email se mili hai.
kahan mumkin tha main dil se teri yadain mita daita
bhala kaisay main jeeta, agar tujh ko bhula daita
teri ruswai k dar se labo'n ko see liya warna
tere shehr-e-munafiq ki main bunyadain hila daita
kya tark-e-wafa us ne to hogi uski majboori
jisay barson dua di thee usay kya bad'dua daita
khabar hoti agar mujh ko nahi hai tu muqaddar main
usi lamhay main hathon ki lakeeron ko mita daita
Author Unknown........................................... ......................................
hai duaa yaad magar harf-e-duaa yaad nahii.n
mere naGmaat ko a.ndaaz-e-navaa yaad nahii.n
mai.n ne palako.n se dar-e-yaar pe dastak dii hai
mai.n vo saahil huu.N jise ko_ii sadaa yaad nahii.n
mai.n ne jin ke liye raaho.n me.n bichhayaa thaa lahuu
ham se kahate hai.n vahii ahad-e-vafaa yaad nahii.n
kaise bhar aa_ii.n sar-e-shaam kisii kii aa.Nkhe.n
kaise tharraa_e charaaGo.n kii ziyaa yaad nahii.n
sirf dhu.ndhalaa_ ii sitaaro.n kii chamak dekhii hai
kab huaa kaun huaa kis se Khafaa yaad nahii.n
zindagii jabr-e-musalasal kii tarah kaTatii hai
jaane kis jurm kii paa_ii hai sazaa yaad nahii.n
aao ik sajdaa kare.n aalam-e-madhahoshii me.n
kahate hai.n ke "Sagar" ko Khudaa yaad nahii.n
Author Unknown........................................... ......................................
regards
manu
Last edited by acharya_mj; 30th July 2009 at 11:48 PM..
|