mujh ko bhi itne logon mein tanha bana diya... -
6th May 2006, 12:19 PM
@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@
sab se chupa kar dard jo woh muskara diya
us ki hansi ne to aaj mujh ko rula diya
lehje se uth raha tha har ek dard ka dhuwaa
chera bata raha tha ke sab kuch ganwa diya
awaaz mein therao tha, aankho mein thi nami
aur keh raha tha ke maine sab kuch bhula diya
jaane kya thi usko mujh se shikayaten
tanhaiyon ke des mein khud ko basa diya
khud bhi woh hum se bichad kar adhoora ho gaya,
mujh ko bhi itne logon ki bheed mein tanha bana diya.
@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@
Not Mine.
mai kabhi kuch nahi likhta bas
dusron ka likha post karta hoon
kyonki mai shayar nahi hoon
lekin mujhe shayri bohat pasand hai
|