Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Na jaane aansoon kahan se aankhon me bhar aaTe hain...
Old
  (#1)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
Na jaane aansoon kahan se aankhon me bhar aaTe hain... - 3rd September 2006, 09:22 PM

Zindagi me kuch paane ke liye kuch khona padta hi hai.. yehi reet hai... par jab ye sach me hota hai to dil kitna rota hai... ek chain ka lamha paane ko na jaane kya kya khona padta hai.. aur agar mann yeh soche ki chalo jo kho raha hai use paate hain... to chain kho jaata hai....

Isi kashmakash me kuch likha hai... umeed hia aap sab ko pasand aayega....

Yeh dil kabhi kisi ke bas me nahi hota.. sab kuch paane ki chaah humesha rehti hai iske andar.. aur jab kuch nahi milta to yeh bahad rota hai....

Kuch beeTe lamhe jab lauT ke aaTe hain..
Gam ke saaye saaTh me laaTe hain..
Hum jiTna bhi chaahe aaine ke saamne mukuraana..
Na jaane aansoon kahan se aankhon me bhar aaTe hain...

Apni duniya ko aaj bhi khwaabon se sajaaTe hain..
Aankh khulTe hi yeh sab bhi TooT jaaTe hain..
JaanTe hain na sach hoga abhi koi sapna humara..
Phir bhi aankhon me woh sunehre sapne sajaaTe hain...

Khal rahi hai yeh doori... chalo ab hum lauT aaTe hain..
EK pal bhi na Tumhare bina hum khushi se jee paaTe hain..
Par kubool na hoga humara milan fir se is zaalim duniya ko..
Bas yahi soch kar fir "ChaahaT" ke kadam khud hi ruk jaaTe hain..

~Priya

"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

Last edited by chaahat; 3rd September 2006 at 09:24 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
3rd September 2006, 09:29 PM

Kuch beeTe lamhe jab lauT ke aaTe hain..
Gam ke saaye saaTh me laaTe hain..
Hum jiTna bhi chaahe aaine ke saamne mukuraana..
Na jaane aansoon kahan se aankhon me bhar aaTe hain...

Apni duniya ko aaj bhi khwaabon se sajaaTe hain..
Aankh khulTe hi yeh sab bhi TooT jaaTe hain..
JaanTe hain na sach hoga abhi koi sapna humara..
Phir bhi aankhon me woh sunehre sapne sajaaTe hain...

Khal rahi hai yeh doori... chalo ab hum lauT aaTe hain..
EK pal bhi na Tumhare bina hum khushi se jee paaTe hain..
Par kubool na hoga humara milan fir se is zaalim duniya ko..
Bas yahi soch kar fir "ChaahaT" ke kadam khud hi ruk jaaTe hain..

Hum jiTna bhi chaahe aaine ke saamne mukuraana..
Na jaane aansoon kahan se aankhon me bhar aaTe hain...

~Priya

hi priya kaisi ho

tumhari ye peshkas k bare me kya kahu har bar ki tarha ye bhi bhaot hi pyaari aur bhot hia achhi peshkas hai

mujhe bahot pasand aaya aur acha ;laga padhke

aapka dost dhaval

*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
3rd September 2006, 11:41 PM

Kuch beeTe lamhe jab lauT ke aaTe hain..
Gam ke saaye saaTh me laaTe hain..
Hum jiTna bhi chaahe aaine ke saamne mukuraana..
Na jaane aansoon kahan se aankhon me bhar aaTe hain...

Hmmmm..... Beete hue khoobusrat pal aksar aankhen bhigo hi dete hain....

Apni duniya ko aaj bhi khwaabon se sajaaTe hain..
Aankh khulTe hi yeh sab bhi TooT jaaTe hain..
JaanTe hain na sach hoga abhi koi sapna humara..
Phir bhi aankhon me woh sunehre sapne sajaaTe hain...

Sapne hi naa honge to jeene k koi arth hi nahi rahega behna... Sapne sajana bhi zaroori hai....

Khal rahi hai yeh doori... chalo ab hum lauT aaTe hain..
EK pal bhi na Tumhare bina hum khushi se jee paaTe hain..
Par kubool na hoga humara milan fir se is zaalim duniya ko..
Bas yahi soch kar fir "ChaahaT" ke kadam khud hi ruk jaaTe hain..

bahut dard hai in aashaar me...

Dear Priya,

Apne dard ko lafzon ka roop bahut acche se deti ho tum... Kaafi kareeb se mehsoos hota hai tumhaara dard.... Khush raha karo... apna khayal rakho.......

Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
Re: Na jaane aansoon kahan se aankhon me bhar aaTe hain...
Old
  (#4)
dilip200
Adhoori Aas
dilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud of
 
dilip200's Avatar
 
Offline
Posts: 1,543
Join Date: Jul 2006
Location: india , shivpuri
Rep Power: 31
Re: Na jaane aansoon kahan se aankhon me bhar aaTe hain... - 4th September 2006, 09:09 AM

Quote:
Originally posted by chaahat123

Kuch beeTe lamhe jab lauT ke aaTe hain..
Gam ke saaye saaTh me laaTe hain..
Hum jiTna bhi chaahe aaine ke saamne mukuraana..
Na jaane aansoon kahan se aankhon me bhar aaTe hain...

Apni duniya ko aaj bhi khwaabon se sajaaTe hain..
Aankh khulTe hi yeh sab bhi TooT jaaTe hain..
JaanTe hain na sach hoga abhi koi sapna humara..
Phir bhi aankhon me woh sunehre sapne sajaaTe hain...

Khal rahi hai yeh doori... chalo ab hum lauT aaTe hain..
EK pal bhi na Tumhare bina hum khushi se jee paaTe hain..
Par kubool na hoga humara milan fir se is zaalim duniya ko..
Bas yahi soch kar fir "ChaahaT" ke kadam khud hi ruk jaaTe hain..

Hum jiTna bhi chaahe aaine ke saamne mukuraana..
Na jaane aansoon kahan se aankhon me bhar aaTe hain...

~Priya
priya ji

har ek lafz dard main dooba hua hai, har lafz khud hi apna dard bayan kar raha hai....... esa lagta hai ye kalam mere aas-paas hi ghoom raha hai........... bahut badiya..... kamal ka likha hai aapne
keep it up

meri badhai aap dil se sweekar karo

dilip

" Dilip " -Ek Adhoora khwab

Dard bantne se ab darr lagta hai
mere gamo ka usnane falsafa bana diya
  Send a message via Yahoo to dilip200  
Reply With Quote
Old
  (#5)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
4th September 2006, 09:15 AM

Quote:
Originally posted by dhavalrami4you
hi priya kaisi ho

tumhari ye peshkas k bare me kya kahu har bar ki tarha ye bhi bhaot hi pyaari aur bhot hia achhi peshkas hai

mujhe bahot pasand aaya aur acha ;laga padhke

aapka dost dhaval
Dhaval ji..

Aapko mera likha pasand aaya jaan ke bahut khushi hui...

Aap yunhi saath dete rahenge to likhne ki koshish barkaraar rahegi...

Aap humesha khush rahein..

~Priya

"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

Reply With Quote
Old
  (#6)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
4th September 2006, 09:18 AM

Quote:
Originally posted by Pulkit_gupta
Hmmmm..... Beete hue khoobusrat pal aksar aankhen bhigo hi dete hain....

Sapne hi naa honge to jeene k koi arth hi nahi rahega behna... Sapne sajana bhi zaroori hai....

bahut dard hai in aashaar me...

Dear Priya,

Apne dard ko lafzon ka roop bahut acche se deti ho tum... Kaafi kareeb se mehsoos hota hai tumhaara dard.... Khush raha karo... apna khayal rakho.......
Bhaiya..

Dard apna ho ya kisi aur ka.. meshsoos ek sa hi hota hai... Aapne mere ehsaas ko samjha.. bahut khushi hui..

Aapki hounsla afzaai aur duaaon ke liye bahut bahut shukriya..

Aap bhi humesha khush rahein yehi dua hai meri..

~Priya

"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

Reply With Quote
Re: Re: Na jaane aansoon kahan se aankhon me bhar aaTe hain...
Old
  (#7)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
Re: Re: Na jaane aansoon kahan se aankhon me bhar aaTe hain... - 4th September 2006, 09:19 AM

Quote:
Originally posted by dilip200
priya ji

har ek lafz dard main dooba hua hai, har lafz khud hi apna dard bayan kar raha hai....... esa lagta hai ye kalam mere aas-paas hi ghoom raha hai........... bahut badiya..... kamal ka likha hai aapne
keep it up

meri badhai aap dil se sweekar karo

dilip
Dilip ji..

Gar dard na hota to shaayad yeh nazm bhi yahan na hoti... khair..

aapko pasand aaya jaan ke behad khushi hui..

Aap bhi apna khayal rakhiyega..

~Priya

"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

Reply With Quote
Re: Na jaane aansoon kahan se aankhon me bhar aaTe hain...
Old
  (#8)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Re: Na jaane aansoon kahan se aankhon me bhar aaTe hain... - 8th September 2006, 11:08 AM

Kuch beeTe lamhe jab lauT ke aaTe hain..
Gam ke saaye saaTh me laaTe hain..
Hum jiTna bhi chaahe aaine ke saamne mukuraana..
Na jaane aansoon kahan se aankhon me bhar aaTe hain...

Apni duniya ko aaj bhi khwaabon se sajaaTe hain..
Aankh khulTe hi yeh sab bhi TooT jaaTe hain..
JaanTe hain na sach hoga abhi koi sapna humara..
Phir bhi aankhon me woh sunehre sapne sajaaTe hain...

Khal rahi hai yeh doori... chalo ab hum lauT aaTe hain..
EK pal bhi na Tumhare bina hum khushi se jee paaTe hain..
Par kubool na hoga humara milan fir se is zaalim duniya ko..
Bas yahi soch kar fir "ChaahaT" ke kadam khud hi ruk jaaTe hain..

Hum jiTna bhi chaahe aaine ke saamne mukuraana..
Na jaane aansoon kahan se aankhon me bhar aaTe hain...[/b][/COLOR]

~Priya [/B][/QUOTE]

priya sachi mai maine to esko dekha hai nahi, agar tum na batati to yeh meri nazar se rah jatta. priya ab mai kaya kahu upper sabhi ne kaha hai ki bahut dard hai es main. mai to bas yehi dua karti hu ki dard khatam ho jaye aur eski jagah hamari priya pyar ke, kushi ke taraney likhney lagey, par patta nahi yeh dua kab kabool hogi. ek geet ka mukhra tumharey liye likhna chahti hu:

kab tak dillo ko andherey chaleygey,
udhasi bharey din kabhi to dhaleygey,
kitney bhi ho tej hawa ke yeh jonkey,
jo tum se hai bichdey woh kal phir mileygey............!

kush raha karo.....!

tumhari didi

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
hi
Old
  (#9)
rajveeer
shayri is my life
rajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud of
 
rajveeer's Avatar
 
Offline
Posts: 1,938
Join Date: Jun 2006
Location: Punjab(Phagwara)Now:(California) USA
Rep Power: 33
hi - 8th September 2006, 01:18 PM

Kuch beeTe lamhe jab lauT ke aaTe hain..
Gam ke saaye saaTh me laaTe hain..
Hum jiTna bhi chaahe aaine ke saamne mukuraana..
Na jaane aansoon kahan se aankhon me bhar aaTe hain...

Apni duniya ko aaj bhi khwaabon se sajaaTe hain..
Aankh khulTe hi yeh sab bhi TooT jaaTe hain..
JaanTe hain na sach hoga abhi koi sapna humara..
Phir bhi aankhon me woh sunehre sapne sajaaTe hain...

Khal rahi hai yeh doori... chalo ab hum lauT aaTe hain..
EK pal bhi na Tumhare bina hum khushi se jee paaTe hain..
Par kubool na hoga humara milan fir se is zaalim duniya ko..
Bas yahi soch kar fir "ChaahaT" ke kadam khud hi ruk jaaTe hain..

Hum jiTna bhi chaahe aaine ke saamne mukuraana..
Na jaane aansoon kahan se aankhon me bhar aaTe hain...

priya ji appko raj ka tahe dil se parnaam.....appki nazam parhi parh kar laga ki jaise seene se dil nikala ja raha ho.....bhut he purkashish rachna hai......yu he likhti rehna.....meri dil se daad kabool karna....take care......raj......

un se kar liya kinara unki khushi ki khatir
ab mujhe bewafa kahiye ya bawafa kahiye...(Raj)
 Send a message via ICQ to rajveeer Send a message via Yahoo to rajveeer  
Reply With Quote
Re: Re: Na jaane aansoon kahan se aankhon me bhar aaTe hain...
Old
  (#10)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
Re: Re: Na jaane aansoon kahan se aankhon me bhar aaTe hain... - 9th September 2006, 10:12 PM

Quote:
Originally posted by sunita virender
priya sachi mai maine to esko dekha hai nahi, agar tum na batati to yeh meri nazar se rah jatta. priya ab mai kaya kahu upper sabhi ne kaha hai ki bahut dard hai es main. mai to bas yehi dua karti hu ki dard khatam ho jaye aur eski jagah hamari priya pyar ke, kushi ke taraney likhney lagey, par patta nahi yeh dua kab kabool hogi. ek geet ka mukhra tumharey liye likhna chahti hu:

kab tak dillo ko andherey chaleygey,
udhasi bharey din kabhi to dhaleygey,
kitney bhi ho tej hawa ke yeh jonkey,
jo tum se hai bichdey woh kal phir mileygey............!

kush raha karo.....!

tumhari didi [/B]
Di..........

Dekha aapne yahan aake kya kar diya....................

................................................. mere chehre pe muskaan saja di.........

Yun hi humesha saath rehna...

aur aap bhi apna khayal rakhna...

~Priya

"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

Reply With Quote
Old
  (#11)
neha16us
ghungroo toot gaye!!!
neha16us is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 35
Join Date: Aug 2006
Location: barmuda triangle
Rep Power: 0
10th September 2006, 12:41 AM

kya hum kuch kehne ki gustakhi kar sakte hain....

har aankh yahan yu to bahut roti hai,
har boond magar ashq nahi hoti hai,
par dekh ke ro de jo zamane ka gum,
us aankh se aansoo jo gire moti hai..............

tkcr neha
  Send a message via Yahoo to neha16us Send a message via AIM to neha16us  
Reply With Quote
Old
  (#12)
akelijaan
Mai shayar to nahi
akelijaan is a jewel in the roughakelijaan is a jewel in the roughakelijaan is a jewel in the rough
 
akelijaan's Avatar
 
Offline
Posts: 739
Join Date: Feb 2006
Location: mumbai,india
Rep Power: 21
10th September 2006, 02:17 PM

DEAR PRIYA,
badi der se nazar padi aapke is haseen kalam par.no doubt apki har peshkash lajawaab hoti hai,par yeh to kamaaal kargaya.bahut pasand aaya mujhe.

Khal rahi hai yeh doori... chalo ab hum lauT aaTe hain..
EK pal bhi na Tumhare bina hum khushi se jee paaTe hain..
Par kubool na hoga humara milan fir se is zaalim duniya ko..
Bas yahi soch kar fir "ChaahaT" ke kadam khud hi ruk jaaTe hain..

bahut sahi kaha aapne
likhti rahiye yunhin.
tc.

yun bin bulaaye milne chala aata hai,
gham ko mujh se yeh unsiyat kaisi??

--akelijaan--
  Send a message via Yahoo to akelijaan  
Reply With Quote
Re: hi
Old
  (#13)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
Re: hi - 12th September 2006, 03:47 AM

Quote:
Originally posted by rajveeer
priya ji appko raj ka tahe dil se parnaam.....appki nazam parhi parh kar laga ki jaise seene se dil nikala ja raha ho.....bhut he purkashish rachna hai......yu he likhti rehna.....meri dil se daad kabool karna....take care......raj......
Raj ji...

Itni deri se jawab dene ke liye maafi chaahti hun.. bas yunhi kuch kaamon me masroof rahi..

Aapko meri rachna pasand aayi jaan ke bahut khushi hui..

Yunhi aate rahiye.. take care..

~Priya

"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

Reply With Quote
Old
  (#14)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
12th September 2006, 03:48 AM

Quote:
Originally posted by neha16us
kya hum kuch kehne ki gustakhi kar sakte hain....

har aankh yahan yu to bahut roti hai,
har boond magar ashq nahi hoti hai,
par dekh ke ro de jo zamane ka gum,
us aankh se aansoo jo gire moti hai..............

tkcr neha
Bahut khoob Neha ji..

Bahut hi sundar sher likha hai aapne..

Take Care...

~Priya

"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

Reply With Quote
Old
  (#15)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
14th September 2006, 07:45 AM

Quote:
Originally posted by akelijaan
DEAR PRIYA,
badi der se nazar padi aapke is haseen kalam par.no doubt apki har peshkash lajawaab hoti hai,par yeh to kamaaal kargaya.bahut pasand aaya mujhe.

Khal rahi hai yeh doori... chalo ab hum lauT aaTe hain..
EK pal bhi na Tumhare bina hum khushi se jee paaTe hain..
Par kubool na hoga humara milan fir se is zaalim duniya ko..
Bas yahi soch kar fir "ChaahaT" ke kadam khud hi ruk jaaTe hain..

bahut sahi kaha aapne
likhti rahiye yunhin.
tc.
Pyari Sara..

Tumhe yahan dekh ke bahut khushi hui........

Tumhe meri rachna pasand aayi.. isse achi aur kya baat ho sakti hain..

apna khayal rakhna..

~Priya

"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

Reply With Quote
Old
  (#16)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
4th January 2009, 07:12 PM

Kuch beeTe lamhe jab lauT ke aaTe hain..
Gam ke saaye saaTh me laaTe hain..
Hum jiTna bhi chaahe aaine ke saamne mukuraana..
Na jaane aansoon kahan se aankhon me bhar aaTe hain...

DIL KO CHU JAANE WAALE EHSAAS HAIN PRIYA JEE....BAHUT DARD HAI IS GHAZAL KE HAR LAFZ ME.....DIL SE DAAD QUBOOL KIJIYE...YUHI LIKHTI RAHIYE...

ZAINY

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#17)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
5th January 2009, 09:07 AM

behad khoob gudiya....aacha laga tumhara likha hua....ek arse baad kuch yaadein taaza ho gayi

likhti raho

-tumhara apna

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#18)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
7th January 2009, 04:27 PM

Thankyou Zainy ji..

Thankyou Bhaiya.. aapko yahan dekh ke bahut acha laga..........

~Priya

"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

Reply With Quote
Old
  (#19)
silent-tears
Registered User
silent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud ofsilent-tears has much to be proud of
 
silent-tears's Avatar
 
Offline
Posts: 1,252
Join Date: Jun 2007
Location: Jalandhar
Rep Power: 30
7th January 2009, 04:37 PM

Kuch beeTe lamhe jab lauT ke aaTe hain..
Gam ke saaye saaTh me laaTe hain..
Hum jiTna bhi chaahe aaine ke saamne mukuraana..
Na jaane aansoon kahan se aankhon me bhar aaTe hain...

Apni duniya ko aaj bhi khwaabon se sajaaTe hain..
Aankh khulTe hi yeh sab bhi TooT jaaTe hain..
JaanTe hain na sach hoga abhi koi sapna humara..
Phir bhi aankhon me woh sunehre sapne sajaaTe hain...

Khal rahi hai yeh doori... chalo ab hum lauT aaTe hain..
EK pal bhi na Tumhare bina hum khushi se jee paaTe hain..
Par kubool na hoga humara milan fir se is zaalim duniya ko..
Bas yahi soch kar fir "ChaahaT" ke kadam khud hi ruk jaaTe hain..

Hum jiTna bhi chaahe aaine ke saamne mukuraana..
Na jaane aansoon kahan se aankhon me bhar aaTe hain

apke in shabado me bhut dard bhara hai

woh akele chal diye hum khare reh gaye,
har bar ki tarah asnu aaj bhi beh gaye,
hum ne yaad kia unhen har lamha,
unhone hass k keh diya, yaad kia sab ko
magar bus tum he reh gaye

Anil Arora

Naulekahe par tere khoon ki boond hai,
Motiyo ki jagah par jada kaun hai,
Jiski khatir daga chandini se kare,
Puch suraj ki woh dilruba kaun hai?
   
Reply With Quote
Reply

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Humko khush rehne ke aadaab kahan aate hain Mohammad Kashif Shayri-e-Mashahoor Shayar 1 6th August 2009 09:35 PM
Yeh aankh bhar Aate hain.... koituhoo Shayri-e-Dard 0 5th January 2005 09:27 PM
Ashq aankhon main hi to aate hain baba Shayri-e-Ishq 1 11th September 2003 02:40 PM
jaane chale jaate hain kahan....... your_first_love Shayri-e-Ishq 2 5th September 2003 04:09 PM
Ashq aankhon main hi to aate hain. Neha Haroon Shayri-e-Ishq 0 6th March 2003 12:04 PM

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com