Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
dil ki barbaadi.
Old
  (#1)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 26
dil ki barbaadi. - 3rd June 2005, 05:29 PM

Doston

Aap sab ki nazr yeh nacheez kaawish.

Dil ki barbaadi ka maatem ; kaise ho
Shorishon ka saaz madhem ; kaise ho
Abr-e-rehmat ab umand ker aa bhi jaa
Hem bhi hoan mamnoon-e-shabnem ; kaise ho
Zindagi ek roag ben ke reh gaee
Yeh roag ho jaaye khatem ; kaise ho
Mein ne yeh chaha hansoon mein bhi mager
Aankh meri ho gaee nem; kaise ho
Aadmiyet ro rahi hai ey mushi
Aur begaana rahein hem ; kaise ho

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Re: dil ki barbaadi.
Old
  (#2)
garima
Paagal Pathik
garima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of light
 
garima's Avatar
 
Offline
Posts: 1,997
Join Date: Jan 2005
Location: In the heart of universe
Rep Power: 27
Re: dil ki barbaadi. - 3rd June 2005, 05:42 PM

Quote:
Originally posted by musharrafhusain
Doston

Aap sab ki nazr yeh nacheez kaawish.

Dil ki barbaadi ka maatem ; kaise ho
Shorishon ka saaz madhem ; kaise ho
Abr-e-rehmat ab umand ker aa bhi jaa
Hem bhi hoan mamnoon-e-shabnem ; kaise ho
Zindagi ek roag ben ke reh gaee
Yeh roag ho jaaye khatem ; kaise ho
Mein ne yeh chaha hansoon mein bhi mager
Aankh meri ho gaee nem; kaise ho
Aadmiyet ro rahi hai ey mushi
Aur begaana rahein hem ; kaise ho

musharrafhusain

Mushi sir...

achhe vichaar hai sabka ek jawab..

dil aur dimaag ko ek jagah karane ke baad jo khayaal sahi ubhare wohi aapke sawaalo ka jawab de paayenge..

kuchh galat bola ho to muaafi chahati hoon.. actually abhi abhi topic discuss kar rahi thi to mere paas bhi vichaaro ki daud hai.. aur har baat ko ek alag nazariye se dekh rahi hoon.. isliye itna bol gayi..

Garima


Anant se bhi aage... itni si khwahish hai :)
  Send a message via Yahoo to garima Send a message via Skype™ to garima 
Reply With Quote
Old
  (#3)
Aman_rahi
Paigaam-e-Aman
Aman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really nice
 
Aman_rahi's Avatar
 
Offline
Posts: 2,689
Join Date: Oct 2004
Location: Patiala, Punjab, India. Now:Pune, India
Rep Power: 27
4th June 2005, 09:30 AM

Mushi Dost.....

kalaam ki ghraai aur dard bhra ehsaas......bahut aacha likha hai aapne.....

har ubharte swaal ka jawab bhi hai....bus lekin kaise ho......

aaj kaafi dinon ke baad aapka likha kutch padne ko mila.....

yunhi likhte rahiye.....

aapka dost.....



**(*·.¸(`·.¸ ¸.·´)¸.·*)**
*·.¸Paigaam -e- Aman¸.·*
**(¸.·´(¸.·* *·.¸)`·.¸)**


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
inhan ankhaaon vicho kadi, tere hanju vaghe si.....
aaj ki hoye, jehda ^AMAN^ da lahoo vagda ae......

AMAN RAHI
  Send a message via Yahoo to Aman_rahi  
Reply With Quote
bahot dard hai
Old
  (#4)
meetaparekh
Registered User
meetaparekh will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 529
Join Date: May 2004
Rep Power: 22
bahot dard hai - 4th June 2005, 01:10 PM

MERE MUSHI DOST
kun itna dard hai sine main jaise har ek shabd se tapak raha hai jaise, kun mare bhi ek sawal apke itne sawalo ke saath juda hua hai. take care.EVEY DARK CLOUD HAS A SILVER LINE.


meetaparekh
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 44
4th June 2005, 02:04 PM

Dil ki barbaadi ka maatem ; kaise ho
Shorishon ka saaz madhem ; kaise ho

Abr-e-rehmat ab umand ker aa bhi jaa
Hem bhi hoan mamnoon-e-shabnem ; kaise ho

WaaaaaaH.. bahut khoob likha hai bhai!


Zindagi ek roag ben ke reh gaee
Yeh roag ho jaaye khatem ; kaise ho

Mein ne yeh chaha hansoon mein bhi mager
Aankh meri ho gaee nem; kaise ho

Aadmiyet ro rahi hai ey mushi
Aur begaana rahein hem ; kaise ho

Beautifullll!!

Mushi Bhai!

Behad Khoobsurati se aapne apne dil ka dard in lafzon me bayaan kiya hai... Behad asardaar rachna hai bhaii... Mujhe padh behad acchi lagi.... Meri daad kubool kar lijiyega bhai... Yunhi Mehfil sajaate rahiye...Apna pyaar aur aashirwaad humare saath hi rakhiyega.... Khayal rakhiye bhai!!


Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
Old
  (#6)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 43
4th June 2005, 04:49 PM

mushi bhaiya ...

aapki rachna padhne ke baad aapse pehla sawaal ye ki "KAISE HO" lol janta huN behtari aapki rahaoN maiN sajde kar rahi hogi .. khair aapne khayal itne gehre likhe haiN ki unhe soch kar insaN kisi dariya main bhi ja baithe to dobe nahi ....

bas wah hi wah ...

yuN hi apne khayal bikhrate rahiye ...

aapka apna

kunal


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#7)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 25
4th June 2005, 05:09 PM

Wah....

Aaj yahan aakar aapki post dekhi tau dil khush ho gaya..

Aur jab isko pada.. padta reh gaya!!

Bahut khoob Ghazal keh daali aapne.. Har sheyr achha laga..

Dil ki barbaadi ka maatem ; kaise ho
Shorishon ka saaz madhem ; kaise ho

Wah ..Matla mein khoob wajan daala.. Rabat bhi khoob bithai aapne.

Abr-e-rehmat ab umand ker aa bhi jaa
Hem bhi hoan mamnoon-e-shabnem ; kaise ho

Girahbandi ka koi jawaab nahin aapka.

Zindagi ek roag ben ke reh gaee
Yeh roag ho jaaye khatem ; kaise ho

Simple but powerful


Mein ne yeh chaha hansoon mein bhi mager
Aankh meri ho gaee nem; kaise ho

isse padkar ek baar chahre par muskurahat aa gayi thi..

Aadmiyet ro rahi hai ey mushi
Aur begaana rahein hem ; kaise ho

Ye makta hi tha jisne hame is ghazal ko baar baar padne pe majboor kiya.. Bahut Bahut Bahut khoob keh gaye aap yahan,..Jitni bhi wah karoon shayad kamm hogi.. Isne fir se Vipin ji ki kami ka ehsaas dilaaya..

Shukriya,

Varinder
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 26
4th June 2005, 09:33 PM

garima

aap ne mere ashaar ko samjha saraha, aap ka shukriyaa.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 26
4th June 2005, 09:36 PM

aman mere dost

aap ne mere ehsaas ko samjha, mehsoos kiyaa, aap ka behad mashkoor hoon.
dua go hoon aap ke liye, khush rahein aabaad rahein.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 26
4th June 2005, 09:40 PM

mita meri dost

mein to aap se akser kehta hoon bazabaan e meer.
"HEM KO SHAYER NA KAHO MEER KE SAHEB HEM NE"
DARD O GHEM KITNE KIYE JAMAA TO DIWAAN KIYA"

aap ki mohabbaton ka qarazdaar hoon jo aap dost mere ehsaas ko mere ashaar ko mehsoos kerte hain aur usey sarahte hain.
meri dua hai ke hamesha khush rahein aur aabaad rahein.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 26
4th June 2005, 09:44 PM

pulkit mere bhai

aap se mere bhaiyon wala rishta hai, aur aap ki daad ko aap ke khaloos ko mein mehsoos ker sakta hoon.
meri dua hai ke aap hamesha khush raho aur zindagi ker her maidaan mein kaamiyaabi haasil karo.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 26
4th June 2005, 09:47 PM

kunal mere bhai

bhai ko bahat dharas hoti hai jab aap jaise mohabbat kerne wale bhai us ki hosla afzaayee kerte hain aur saath dete hain.
aap ka khaloos aur aap ki taabedaari mere sir aankhon per hai.
aap ka behad shukriya mere bhai.
meri duayein apne bhai kunal ke liye.

musharrafhusain.
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 26
4th June 2005, 09:51 PM

verinder mere dost

aap ko yahan dekh ker behad khushi hui hai.
aap doston ka saath hi to hai jo hem yahan hain aur aap se apni yeh tooti phooti shaiyri share kerte hain.
aap ki daad ka behad mashkoor hoon aur dost aap se hamesha yeh chahoon ga ke is forum per aate raha karein.
meri duayein apne dost verinder ke liye.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 28
6th June 2005, 03:36 AM

Mere pyaare mushi bhayyia....

bahut bahut pyaar...

Mein ne yeh chaha hansoon mein bhi mager
Aankh meri ho gaee nem; kaise ho


aapki kavish dard ki lehar see kaund gayi...dil par...itna asardaar likha hai aapne...aankhein nam kyun ho paras ke bhai ki...kabhi na hon...bus yahi dua, yahi prarthna hai bhagwaan se...



nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 26
7th June 2005, 10:54 AM

paras meri behan

bohat bohat shukriyaa.
tum ho to waqaee bhai ki aankhein nem kyun hongi.
jug jug jiyo meri behan.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
bedilMusafir
Registered User
bedilMusafir will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 405
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 23
11th June 2005, 12:54 AM

waah.. waah.. waah..
aur kya kahooN...

arse baad aisi umda ghazal padhna naseeb hua..
dard-o-soz se labrez..
jitni baar padha kam raha...

Dil ki barbaadi ka maatem ; kaise ho
Shorishon ka saaz madhem ; kaise ho


iss se behtar matlaa aur kya ho sakta hai..

Abr-e-rehmat ab umand ker aa bhi jaa
Hem bhi hoan mamnoon-e-shabnem ; kaise ho


kise maluum halaat shayar ki soch ko kab kahaaN laa kar khada kar deN..

Zindagi ek roag ben ke reh gaee
Yeh roag ho jaaye khatem ; kaise ho

har takleef shaayad yahiiN aakar khatm hoti hai...

Mein ne yeh chaha hansoon mein bhi mager
Aankh meri ho gaee nem; kaise ho
Aadmiyet ro rahi hai ey mushi
Aur begaana rahein hem ; kaise ho


mai nahi jaanta kyuN.. par in aakhri do sher par mere jazbaat bilkul Varindar bhai k jaise haiN...
zara bhi fark nahi..
aakhri sher ne to Vipin saahab ki rachnaayeiN zehan meiN taaza kar diiN...
baat insaaniyat ki hoti hai to Vipin saahab yaad aa hi jaate haiN...

aur ek sher bhi yaad meiN taaza ho gaya...

raah-e-ulfat meiN jidhar ghuzre nishaaN banta gayaa..
har fasaana ek rangiiN daastaaN banta gayaa... (Kaisar Shakeeli saahab)


daad dooN to kahiN jazbaat aur lafzoN ki haisiyat kam ho jaaye iska darr hai..
bus itni ghuzaarish hai k yuN hi apne jazbaat aur tazurbe pesh kar humeiN sikhaate rahiye...

shukriyaa..
apna khayaal rakhiye...
likhte rahiye aur muskuraate rahiye...


mai 'bedil'
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 36
11th June 2005, 10:18 AM

mere mushi dost,

ek aisa dard jo apna sa lagta hai..
apna khayal rakhiyega.

aapki dost meena
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 26
11th June 2005, 07:07 PM

bedil musafir saheb

aap ne apne khoobsurat tarz e takallum se meri is nacheez kaawish ko bari izzat bakhshi hai, mein behad mamnoon o mashkoor hoon aap ka.
meri dua hai ke aap hamesha khush rahein, aabaad rahein.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#19)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 26
11th June 2005, 07:09 PM

meena meri dost

aap ne mere ehsaasaat ko samjha, aur saraha .
yeh apna pan hai aap ka.
meri dua hai ke hamesha khush rahein aur abaad rahein.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#20)
Dard-e-sush
Registered User
Dard-e-sush is a jewel in the roughDard-e-sush is a jewel in the roughDard-e-sush is a jewel in the rough
 
Dard-e-sush's Avatar
 
Offline
Posts: 605
Join Date: Jul 2003
Location: Moscow, Russia
Rep Power: 25
12th June 2005, 02:36 PM

Mere Azeez Mushi Bhai. Asslam-o-alaikum.

U r one of the most respected and prominant writers here who understand and feel the psychy of pain deep inside.

U have put the very essance of pain in ur words in this thread....

I think......

aarzu-e-barbad inteha to abhi baki hei
laash to ban chuke, dabna to abhi baki hei

shamma-e-farz jalata hun magar
khud se dhokha to abhi baki hei

zara si chot ka karun kya gam
zakhm-e-nasoor mera sathi hei

Intezaam-e-maut kar chuka hun sush
Ilzaam-e-zindagi to baki hei


Khuda Hafiz & Warm Regards


लब पे मुस्कान को लिए ऐ दोस्त, काँधों पे लाश अपनी ढोते हैं,
इस भरे शहर में हम Dard-e-Sush, जो न पाया उसे भी खोते हैं!

lab pe muskaan ko liye ae dost, kandhon pe laash apni dhote hein
is bhare sheher me ham dard-e-sush, jo na paaya use bhi khote hein
   
Reply With Quote
Old
  (#21)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 38
12th June 2005, 08:25 PM

Musharraf Bhai ..

Kaise haiN aap ! ummeed karta huN zindgi itminaan ke sath chal rahi hogi ..

Zindagi ek roag ben ke reh gaee
Yeh roag ho jaaye khatem ; kaise ho

ye behad badnasibi ki baat hai ki khuda ki dee gayi sabse khoobsorat nemat hi kabhi kabhi hume bojh nazar aane lagti hai .. aur fir wahi naa jawabi ka sawal .. ???

khair

tareef ki zaroorat nahi

aapse har baar aisi hi ummeed rahti hai

khud ko salamat rakhiye


andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#22)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 26
13th June 2005, 11:00 AM

Bhai dard e sush

Aap ki izzat afzaayee ke mein behad qader kerta hoon.
Aap ka behad shukriyaa ke aap ne meri is choti si kaawish ko samjha aur saraha.
Aap jaise achchay dost aur bhai hi is forum per mohabbat bikherte hain.
Ek baar phir aap ka shukriyaa.
Meri dua hai ke aap khush rahein , aabaad rahein.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Old
  (#23)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 26
13th June 2005, 11:02 AM

kshitz mere bhai

aap ka behad shukr guzaar hoon .
aap ki mohabbatein aur pyaar hi hai jo hem yahah kuch keh paate hain.
meri duayein hamesha apne bhai kshitz ke liye.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
na milta gam to barbaadi ke afsaane kahaan jaate naresh_mehra110 Hindi/Urdu Lyrics 2 6th October 2009 08:17 PM
Jashn Barbaadi ka, Manaye huwe hai Purvi Shayri-e-Dard 12 14th February 2009 04:14 PM
Barbaadi Mubaraq Ho Sharaabi Shayri-e-Dard 6 17th April 2008 05:14 PM
ladkiyan ya barbaadi aditya_k Humourous Shayri 2 28th March 2005 06:34 PM
barbaadi ahsan Shayri-e-Dard 1 30th March 2004 02:07 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com