ik baat kahun gar sunti ho -
29th April 2006, 02:48 AM
meri nangi raaton ka pairahan tera tasavvur, mere ujde dino ka sabab meri tanhai, issme bhi kaheen na kaheen teri khushbu jaroor paata houn,iss liye band kamron ke andhere me laut aata houn,tujhe khoo kar duniya paa lee to kuch nahi , saari duniya ko kho kar tujhe paa leta to sab kuch thaa... kab ye duniya meri tamanna thee.... kab ye raste mera thikaana thai... ik baat kahun gar sunti ho... kya tum ab bhi waisee ladki ho? phoolon ke jaise dikhti ho,kuch mote mote kapdon me kya ab bhi lipti rehti ho...?
panchiyon ke saath khelti ho?kya ab bhi ghazlen sunti ho?kuch badi badi si lagti ho kuch bacchon jaisee dikhti ho,kya aaj bhi utni gulaabi ho?kya aaj bhi waise hansti ho?ik baat kahun gar sunti ho...yaad mujhe kabhi karti ho?
ik baat kahun gar sunti ho
tum mujhko bahut yaad aati ho
tum yaheen kaheen per rehti ho
iss hawaa me bikhri rehti ho
haan main tanha rehta houn
kuch dara dara sa rehta houn
amber ki taraf utthti aankhen
na dekh tumhe jhuk jaati hain
ik baat kahun gar sunti ho
jab tumne padhna chodh diya
bas maine likhna chodh diya
or sabse naata tod diya
mehfil me dikhna chodh diya
main apne aapme gumsum hu
teri yaad ki rimjhim barish me
main bheega bheega rehta houn
ik baat kahun gar sunti ho
jab dil ki baat ko sunta houn
main tumko bhool nahi pata
or khud se ladta rehta houn
iss duniya ke khel me main
saari baazi haar gaya
kiss baat ki tamanna hai mujhko
jab tujhko he haar gaya
kaise seekhun ab khush rehna
kyun kehti ho ke mat rona
ik baat kahun gar sunti ho
mujhe logon se katrana hai
ab tanha he marr jaana hai
kissi se kuch bhi nahi kehna
kissi se kuch bhi nahi sun-na
na teri zaroorat ban paya
ab kisi ki jaroorat nahi ban-na
tu meri kismat me tehreer nahi
ye baat mujhe manzoor nahi
ik baat kahun gar sunti ho
jab tumne mujhko chodh diya
maine sabse naata tod dia
main dil se ladta rehta houn
bas ukhda ukhda reha houn
izzajat
karan.q
Main or Samander,Do Gehre khwaab khuda ke,
|